Na Zarurat Thi Talwaar Ki Na Aur Kisi Hathiyar Ki
Sirf Ek Dua Thi Karbala Main Alamdaar Ki
Fakat Mil Jaye Ijazat Aqa Hussain Sai
To Yaad DilaDunga Jung Haider-e-Karrar Ki
Mir Anees* ke teen bUnd pesh kar raha hooN jismein maidan’e Karbala mein Hazrat Abbas (A. S.)
ki shuja’at ka bayaan hai
naara tha ke haan aey sipah’e Sha’m, khabardaar
Abbas e dilaawar hai mera naam, khabardaar
hai qahr’e ilaahi meri samsaam, khabardaar
naizah hai mera maut ka paighaam, khabardaar
maiN lakhT e jigar saaheb’e shamsheer’e do-sar hooN
hoshyaar ke maiN sheir e ilaahi ka pisar hooN
farma ke yeh li teigh, bahaadur ne miyaaN se
ghoaRe ko jo cheiRa, na ruka laakh jawaan se
hAr waar meiN sAr girn’e lagey barg e khizaaN se
chaln’e mein ziyaada thi rawaaN, aab’e rawaaN se
jis par paRi, naazil hua qahr uss pa raza ka
thi teigh ki zarbat ke tamaaNcha tha qaza ka
hangaam e wegha bAnd thi rah amn o amaaN ki
jaaN choaRti thi na woh kisi, peer o jawaan ki
humdum thi yadullah ki teigh e do zabaaN ki
thi qatey umid uss se hAr ek dushman e jaan ki
hAr fArd ko iss teigh ka jauhar nazar aaya
saaya bhi paRa jis pa woh be-sAr nazar aaya
Aakhir meiN Josh* Malihabaadi ki eik rubaai mulaheza ho:
seeney pa mere naqsh e qadam kiska hai
rindi meiN yeh ijlaal o hasham kiska hai
zahid, mere iss haath ke saaghar ko na deikh
yeh deikh ke iss sAr pa alam kiska hai
![[pwace[9].png]](http://lh3.ggpht.com/_z2AkYF2qOKk/TMUlfxaGZtI/AAAAAAAACBM/robbIRAdrF8/s1600/pwace%5B9%5D.png)




