
Syeda Zainab (s.a) (urdu)
Wa maa adraaka maa Zainab(s.a)
what do you know, who is Zainab
Syeda Zainab(s.a) kay maqaam-o-azmat ko kon jaan sakta hay. un kay sabr ko biaan karney say alfaaz qaasir hain. Aap ka sabr wo sabr nahin, jis kay ikhtiar karnay pay insaan majboor hota hay. Aap ka sabr socha samjha aur usooli sabr hay.
Aik riwaaiat main hay kay jab roz-e-Ashoor, aap(s.a) maqtal main tashreef laieen, to Hazrat Imam Hussain (a.s) kay jism-athar kay paas tashreef lay gaieen. Aap (s.a) nay Imam-e-Aali maqaam kay sar-bureeda jism ko dono haathon say buland kiaa aur farmaaia,
“Khudawanda! Hamari iss qurbaani ko qubool farmaa lay.”
Aik aur riwaaieat main hay kay farmaati hain,
“Khudawanda! Apni azmat kay muqaabley main hamaari iss qaleel qurbaani ko qubool farmaa lay.”
Allama Ghaderi likhtay hain,
“wo raat ahl-e-bait (a.s) kay liay museebat-o-andoh ki khofnaak raat thee……lekin gham-o-alam ki shiddat aur khuof-o-vahshat kay aalim main Ali (a.s) ki baiti nay istaqaamat , paidari , sabr aur tahammul ki misaal qaim kar di…..Zainab (s.a) kay sabr-o-istaqaamat , azm-o-istaqlaal aur baargah-e-Ilahi main akhlaas-e-bandagi ki azmat kay liay yehi kaafi hay kay masaaib-o-aalaam ki us sakht tareen raat main bhi Ali(a.s) ki baiti nay namaz-e-tahajjad tark na ki.”
Al-gharz , ham un ki shaan kia biaan kar saktey hain, jinhen waqt-e-rukhsat Hazrat Imam Hussain(a.s) nay farmaia thaa,
“Meri piari behan! raat kay nawaafil main mujhey faramosh na karna.”
Allah pak unhi ki shhan-o-azmat kay sadqay, hamain kaneezan-e-zainab(s.a) main shaamil farmaaey(Ameen)
Syeda Quratulain Bokhari
(EVERY DAY IS ASHURA & EVERY LAND IS KARBALA)





September 15, 2006 at 6:28 pm
waqai hum unki shaan biyaan nahi kar saktai. Bohat acha likha hai app nai, rula dainai wala
summa ameen , hamai taufeeq mailai unki kaneezoo mai shamil honai ka.
September 7, 2008 at 10:12 am
A-O-A!
Hello incharge,
I visited your website, i am so impressed by your teachings and work. I found that you are doing such a wonderful work for the Islamic people in the mean time. I am interested to work with your ministry or organization as a translator. I hope so that you will consider me for this great option. I will wait to hear from you if you have any work of translation in to Urdu or Punjabi. Thank you
Sincerely,
Zainab Naseem
September 17, 2008 at 4:19 pm
A-O-A!
Hello incharge,
I visited your website, i am so impressed by your teachings and work. I found that you are doing such a wonderful work for the Islamic people in the mean time.I am a professional translator.As you know that Urdu is official or understanable language in different countries suchasIndia,Pakistan,Bangladesh,Saudi Arbia etc.I want that your work appriciated in these countries also. I am interested to work with your ministry or organization as a translator. I hope so that you will consider me for this great option. I will wait to hear from you if you have any work of translation in to Urdu . Thank you
Sincerely,
Zainab Naseem