Allah shuru karta hoon main Tere naam se
Tere Habeeb pe bhi Durood o Salaam se
Shehzaadi e Rasool Alaihis-salaam pe
Mera salaam hai mere baara Imaam pe
Aur dushmano pe inke ho laanat Teri sadaa
Wo jisne Haq ko chheena hai mazloom bhi kiya
Aakhir mein deke waasta Tujhko Quraan ka
Aagaaz kar raha hoon main apne bayaan ka
Hamd o Sanaa hai saari faqat Teri zaat ki
Karta hai parwarish jo har ek kaaenaat ki
Mamnuun ne’mato’n ka hoo’n aye Rabb e do jahaa’n
Hai be-hisaab ne’matein, kaise karoo’n bayaa’n
Haq Deen hai, Wilaayat hai aur vaaledain hai
Ne’mat badi yehi hai ke ishq e Husain hai
Ya Rab pukaarta nahi hoon roz main Tujhko
Duniya mein uljha rehta hoon, Tu bakhsh de mujhko
Hota ye theek aata jo main Teri chaah mein
Matlab-parast aaya Teri baargaah mein
Qaasir hai zubaa’n meri main izhaar kya karu’n
Aati hai sharm, hoon main gunahgaar kya karu’n
Apne gunaho’n se main ye duniya pe baar hoon
Lekin Tere Husain ka main sogwaar hoon
Islaam pe, Imaan pe har su se waar hai
Hujjat ka Teri humko bahut intezaar hai
Aankhein taras gayi hai ye deedaar ke liye
Mazloom muntazir hai Zulfiqaar ke liye
Sadqe mein Shehre Ilm ke aur Baab e Ilm ke
Mujhko bhi mayassar ho khazaane ye ilm ke
Haasil ho mujhko, Hur ko jaise maarefat mili
Allah ki, Rasool ki aur Ahlebait ki
Aye Woh ke jiska naam dawaa, zikr Shifaa hai
Mujhpe ho karam paas mere sirf Dua hai
Beemar e Karbala ka main deta hoon waasta
Beemar ko, mareez ko Tu jald de Shifaa
Bas fikr jinki shaadi ki hai waaledain ko
Akbar ke wasile se jald unki shaadi ho
Sooni hai jinki goad Tu aulaad kar ataa
Allah Tujhe Maulood e Kaaba ka waasta
Zainab ke gulistaan ki veerani ke sadqe
Saaye se bhi gham ke mere aangan ko bacha le
Ho waqt ke Imaam ke naasir mere bachche
Asgar ki tarah deen pe jaa’n dene ko tadpe
Duniya ki nazr e bad se salaamat rahe bachche
Sadqe mein Sakina ke sadaa phool ye mehke
Barkat ho meri rozi mein mohtaaji duur ho
Zehra ke tasadduq mein qanaa’at zaruur ho
Rozi haraam ho, na ghizaa bhi haraam ho
Tat’heer ke sadqe mein paak ye gulaam ho
Main karz mein dooba hoo’n, Tu ehsaan kar Khuda
Zillat se Tu bacha le, Khadija ka waasta
Failaaoo’n haath na kisi bande ke saamne
Unse kyo’n maangoo’n wo bhi hai tujhse hi maangte
Marhoom pe hamaare ho Rehmat Teri sadaa
Mehshar mein Ahlebait ki unko mile Shafaa
Abbas ke sadqe mein azaadari ho jaari
Maatam kare, girya kare aulaad hamaari
Har saal Hajj naseeb ho, Ziaarat naseeb ho
Shabbir ke sadqe mein Shahaadat naseeb ho
Izzat ka Teri waasta, ho aakhri Rehmat
Taa maut ho ‘Salim’ ka imaan salaamat+
![[pwace[9].png]](http://lh3.ggpht.com/_z2AkYF2qOKk/TMUlfxaGZtI/AAAAAAAACBM/robbIRAdrF8/s1600/pwace%5B9%5D.png)




