Hilti Hai Zameen, Rota Hai Falak: Souz: by jyoti bawree
Imam e Hussain (a.s.) ki zaat e gerami firqa o mazhab ke imtiyaaz se bari hai.
Waqaey Karbala ke baad se yeh Shaheed e Insaniyat tamaam aalam se khiraaj e aqeedat hasil kar raha hai.
Ahle Hunood ki Imam Hussain (a.s.) se aqeedat koi naii baat nahiN hai. SadyoN se woh Hussain ka gham manaate aa rahe haiN. Unke jazbaat ki kya khoob
tarjumaani Janab Dibakar Rahi* Sahab ne ki hai:
Tum mitey, lekin tumheiN mitne na deiNge aey Hussain
Woh tumhaara kaam tha, aur yeh hamaara kaam hai.
Pichle baras Soazkhwani ki eik video "Hindu Khatoon" ke unwaan se Lucknow ki mohtarma SUNITA JHINGRAN ko logoN ne kaafi pasand kiya.
Aaj maiN Kolkata ki Mohtarma JAYATI BAWARI Saheba ki 3 audios upload kar raha hooN. Aap NGOs ke liye kaam karti haiN,ya yuuN kahiye ke khalq e Khuda ki khidmat karti haiN.
Jis khoobsurti se unhoN ne paRha hai, uss se Karbala waaloN se unki aqeedat ka andaza lagaya ja sakta hai.
Souz:
Hilti hai zameeN, roata hai falak, andhiyaari chaane waali hai
Kya qatl huEy, utTho Akbar, MaaN qayd se jaaney waali hai
Khaimey se sada dee Baano ne, Asghar ko chupa leejey Maula
Paani ke eiwaz fauj e aada, ab teer chalaaney waali hai
GhoaRe se girey jab Shaah e Huda, ye khaimey ke darr se aai sada
Ghar loot ke naana ki ummat, ab aag lagaaney waali hai
Woh teira humakna jhooley meiN, woh baal jhandooley, laal tere
Maadar ke liye har baat teri, Asghar taRpaaney waali hai
BachchoN ke liye Abbas e Jari, ab paani laaney aaey haiN
Be’taabi se mashkeezey meiN, har mauj samaaney waali hai
Soaz:
Ghar ko choRa Shaah* ne jangal basaan’e ke liye
Karbala meiN aaey thEy duniya se jaane ke liye
Khelti thiiN khaak par tifli meiN Zainab* baarha
Mashq ki thi Karbala meiN khaak udaan’e ke liye
Hazrat’e Sajjad* raah’e Shaam se waqif na thEy
Haath pakRey thi rasan rasta bataaney ke liye
Soaz:
Safar hai khalq se ab Baadshaahe Aalam ka
Udasi chaai hai ghar par wufoor hai gham ka
Nabi* ki Aal meiN barpa hai shoar maatam ka
Pisar Butool ka mehmaaN hai ab koi dam ka
Lahu meiN seenaey Shaahe Hijaz doobeiga
Koi ghaRi meiN Haram ka jahaaz doobeiga