Aaj Ki Shaam Jawaid Badauni Kae Naam

“Aa hi gaye ho tum to yahaaN umr bhar raho
yeh mera dil hai koii kiraye ka ghar nahiN”

mire ashAAr peh Maula ka karam hai “Jawaid”….mire aaqaa hi miree fikr ko par dete haiN”

“har sher meN “Jawaid” mowaddat ki mahak hai…gul haai aqeedat haiN yeh ashAAr nahiN haiN”

“main woh hooN jise maut kabhi aa nahiN saktee…..”Jawaid” mira naam hai maddaah.e Ali hooN”

“Jawaid Badauni”

Salamalykum,
Jawaid Badauni saheb ki tareef main jo kuch keha jae kam hai. Unki tareef khud unkae ashaar hain……  S.M.MAsoom

Qaseeda Writeups

Qaseeda Writeups

QASEEDAH – 15th– Shaabaan

MIRZA GHALIB – QASEEDAH / Sharah – Ghulam Rasool Meher

Qita o Rubaiyaat……..Imam e Zaman (a.s)

Josh – e – Mawaddat MANQABAT O SALAM)

Hazrat Abbas (A. S.) ki shuja’at ka bayaan By Mir Anees

AAJ AAGHOSH-E-NARGIS MEIN KOUN AA GAYA

DAST-E-NABI O SHER-E-KHUDA YA ALI MADAD

Manqabat ~ Jab nasaara na maane nabi ko nabi

Rukh kis taraf hai haq ki hawaa ka…ABBAS KE ALAM KA PHARERA BATAAYEGA

Salaam use ke agar badshah kahein usko..Mirza Ghalib

Manqabat ~ Imam Ja’far asSadiq(as)

Manqabat ~ Zuhoor-e-asr hai ehad-e-payambar

maiN lakhT e jigar saaheb’e shamsheer’e do-sar hooN

Ye sabr ka imtehaan, ya Imam-e-Zamaan

QUATRAIN OF KHWAJA MOINUDDIN CHISTI

Yeh maula ali hai…………

A Poem by Imam Ali (AS)

Nam se tere is doniya main koi nahi annjan

Jitna mango woh mujhe usse siwa deta hain

Jo Kibriya ki bat wohi hain nabi ki bat

KYA SAMJH PAYEGI YEH DUNIYA KE KYA ABBAS HAI

Ya Mohammed aesi quwat app ney pai key bas

GHAIBAT KA HAI MOLA ZAMANA KAB TAK AKHEER AKHEER KAB TAK

EK NAYE ZAMANE MAIN INQALAB AYEGA

TULOOEY FIKR ” JOSH* MALIHABADI

Moula Ali Ki Shan Main Likhne Walo collection

dil ko Maula se “Jawaid” shikwa nahiN

“Khat jo Maula ke naam bheja hai”

NAUHA Baraaey 19, Ramadhaan

Iltemaas e dua
Syed Mohamad Masoom Abidi

aaye yazeed behaya koi na tera rah gaya

212007-seen-in-an-ashurkhana-0.jpg
aaye yazeed behaya koi na tera rah gaya
shah ka har ek zameen pe naam leva rahgaya

toone socha tha ki mit jayega namme shahdeen
mit gaya tu khud jahan se naam shah ka rah gaya

karbala se aaj tak kaano mein aati hai sada
kufr na baki bacha haq ab bhi zinda rah gaya

dushmano ne lakh koshish ki mitaney ke liye
fazley haq se phir bhi baki shah ka rauza rah gaya

kardiya zainub ki aahon ne tujhe barbaad yun
aaye yazeedey behaya batla tera kya rah gaya

qassim,abbas,akbar ho gayee sarey shaheed
dashtey gurbat mein na zainub ka sahara rahgaya

jiski ulfat mein banaya doaalam aye khuda
uska baade qatl bhi uriyan lasha rah gaya

karbala mein hogaya ahmad ka sara ghar shaheed
haye mardon mein faqat beemar tanha rah gaya

baade asgar kahti thee baqar ye rorokey rabab

haye yeh kismat ki asgar bhi na mera rah gaya.
SAYED BAQAR NAQVI
MALAULI FAIZABAD(U.P.)INDIA

Karbala waloon ka gam ghar ghar manaya jayega

banur.jpg
Karbala waloon ka gam ghar ghar manaya jayega

maqsadey shabbir aalam ko bataya jayega

yaad karkey jo na roya karbalawalon ki pyass

qabar se tishna voh mahshar mein uthaya jayega

……………………………….
2

jiss jagah farshey aza shah ka bichaya jayega

khuld se fatima zahra(s.a.)ko bulaya jayega

apni ankhon ko rulakarkey gamey sarwar mein

madrey shah baqar main duaa leta hoon.

SAYED BAQAR NAQVI
MALAULI FAIZABAD(U.P.)INDIA

har dushmane Ali(a.s.)ke liye bas azab hai

psf_sal033_014.jpg

 

Aala ghadere khum mein nabi(A.S.)ka khitab hai

har dushmane Ali(a.s.)ke liye bas azab hai

duniya mein aakey ban gaya dushman ali(a.s.)ka jo

uss aadmi ka asal mein nutfa kharab hai

ulfat hai jiskey dil mein bhi aale rasool ki

jannat ussi key vastey roze hissab hai

padhiye quran likha hai farmaney kibriya

jo hai ali(a.s)ka shia vahi kamyab hai


khuldey bari mein jaaney sey rokega ussko kaun

duniya mein jo bhi ashqaney bu turab hai

sun lo bagaur hosh zara dushmaney ali(a.s.)

baade qaza tumhari to mitti kharab hai

allah ne kitab bahut se nabi ko dee

lekin mere rasool ki aala kitab hai

Baqar tere ashar ne zehno ko di jila

madhe ali(a.s.)mein sher tera lajawab hai.

PESHKARDA

SAYED BAQAR NAQVI

MALAULI FAIZABAD(U.P.)INDIA