Shia Salat Video
shia muslim prayer – PART 1
shia muslim prayer – PART2
Salaah/Prayer – PART 3
Salaah/Prayer – PART 4
Shia Salat Video
shia muslim prayer – PART 1
shia muslim prayer – PART2
Salaah/Prayer – PART 3
Salaah/Prayer – PART 4
ayatullah bahjat namaz.mpg 7 min |
skrajabi.wmv 22 min |
kaba.wmv 3 min |
vasai2007.wm.. 26 min |
maut.wmv 43 min |
jaunpur chehallum.wm.. 25 min |
majalismirar.. 31 min |
Maulana ali akbar shabaan 33 min |
persian nauha.wmv 6 min |
ziarath e ashoora. 13 min |
Imam Reza (a.s) 9 min |
maulana ali akber juloos e … 29 min |
Shia salat 41 min |
ramzan, maula ali, shab e z… 41 min |
Shia azaan 6 min |
maulana marhoom Ali naqi sb 1 hr 19 min |

Salami! chashm se rah rah ke khoone dil .
Jyoti Pande - Shabihe Imam’e ZamaN Kheenchte haiN
Jyoti Pande – Qeta wa Rubaai
Syed Nasir Jahan’s soulful recitation of Salam-i-Akhir. written by Aal’e Raza Marhoom.
For Audio Zakir-e-Ahlebait Janab Nasir Jahan (late)
Salam qaak nasheenoun pah soghwaroun ka
Ghareeb detey hain pursa tumhare pyaroun ka
Salam un pah jinhe sharm khaye jaati hae
Khule saroun pah aseeri ki qaak aati hae
Salam us pah joh zehmat kashe salasil hae
Museebatoun mein imaamat ki pehli manzil hae
Salam bhejtey hain apni shahzadi par
Ke jisko soump gaye marte waqt ghar Sarwar
Musafirat ne jise bebasi yeh dikhlaayi
Nisaar kar diye bachhe na bach saka bhayi
Aseer hoke jise shaamiyoun ke narghe mein
Hussainiyat hae sikhana Ali ke lehje mein
Sakina bibi tumhare ghulam haazir hain
Bujhe joh pyaas toh ashkoun ke jaam haazir hain
Pahaad raat badi der hae saverey mein
Kahan ho shaame ghareeban ke ghup andheray mein
Zameene garm yateemi ki saqtiyaan bibi
Woh seena jis pah ke so-ti thi ab kahan bibi
Yeh sin yeh hashr yeh sadmay naye naye bibi
Kahan pa baithi ho qaime toh jal gaye bibi
Janab maadarey besheer ko bhi sab ka salaam
Ajeeb waqt hae kya dein tassaliyoun ka payaam
Abhi kaleje mein ek aag si lagi hogi
Abhi toh goadh ki garmi na kam huvi hogi
Na is tarah koi kheti hari bhari ujdey
Tumhari maang bhi ujdi hae goadh bhi ujdi
Nahin andheray mein kuch soojhta kahaan dhoondein
Tumhara chand kahan chup gaya kahan dhoondein
Nahin layeenoun mein insaan koyi Quda hafiz
Darinde aur yeh bewaarisi Quda hafiz
Salam turn pah shaheedon ke bekafan laasho
Salam turn pah rasool-o-Batool ke pyaaro
Bachein toh aglay baras hum hain aur yeh gham phir hae
Jo chal basein toh yeh apna salaame aaqir hae
Salam e Akhir written By Aal’e Raza Marhoom.
Ghabraegi zainab
| Ghabrae ge Zainab(as) | ONLINE LISTEN | DOWNLOAD |
Ghabraaegi Zainab dukh payegi Zainab
Bhaiyya tumhe ghar jaake kahan payegi Zainab
Kaisa yeh bhara ghar huva barbaad ilaahi, kya aayi tabaahi
Ab isko na aabaad kabhi payegi Zainab
Phat jayega bas dekhte hi ghar ko kaleja, yaad aaoge bhaiyya
Dil dhoondhega tumko toll kahaan payegi Zainab
Bin bachhon ke kehlaayi toh kehlaayi mein laikin, yeh kaise ho mumkin
Bin bhai ke kehlaayi toh marjayegi Zainab
Poochenge joh sab loug ke baazu ko huva kya, yeh neel hae kaisa
Kis kis ko nishan rassi ke dikhlaegi Zainab