A Poem by Imam Ali (AS)


Banner

A Poem by Imam Ali (AS)

Your sickness is within you, though you do not realize

And your cure is within, yet you do not see

You claim that you are nothing but a tiny entity

Yet wrapped up inside of you is the greatest universe

You are the clear book, through whose letters

All that is secret is revealed and made known.

So you have no need for anything outside of you

Your consciousness is within you, though you do not know

Image by AliMoula.Coms.Ph

Maula Ali (AWS) ki Poem ka Urdu meN Manzoom tarjuma’

seene meN tire tera harik dard chupa hai
aur dhoond keh har marz ki tujh meN hi dawaa hai

to samjha keh tou kuch bhi nahiN kuch bhi nahiN hai
tou dil ko zara jhaaNk keh aalam tou yeheeN hai

tou dekh keh tujh meN bhi kitaab aisee nihaaN hai
har harf se jiske tira har raaz AyaaN hai

DhooNdey hai zamaney meN jo tujh meN hi naihaN hai
bedaaree jo tujh meN hai tujhe ilm kahaN hai

—————————————————-

Jawaid Badauni

jawaidi786@yahoo.com

Home

Published by S.M.Masum

Retired Banker, India

17 thoughts on “A Poem by Imam Ali (AS)

  1. daawa hai mera, khede mujhe bas yehi koi,
    ali se pehle tha koi surma jarrii,

    taariq ki kitabo ko tumjaake kholdo,
    jo bhed hai chupe woh saare kholdo,
    lawo wahi kahi se bas baat ek yehi, ali se pehle tha koi surma jarii,

    turbat teri nabi ke paas hai tau kya huwa, khete hai log tujko khalifa tau kya huwa,
    ali hai ke jisko khud khuda kahe mera walii, ali se pehle tha koi surma jarrii,

    zulm karke tum khalifa bane, sabko hai pataa,
    ali se tumne madad lii sabko hai pataa,
    iss baat kii gawah hai tumharii kitaab bhi,
    ali se pehle tha koi surma jarii,

    dawaa hai mera khede mujhe bas yehikoi,ali se pehletha koi surma jarii.
    by: zeenat hussein

    Like

    1. Hi Kaneez,
      If u have some poetry as u have mentioned above so plz send me at my mail id which I have mentioned in my mail.
      Khuda Hafiz Mola aapko apni amaan me rakhe.
      Thanks & Regards,
      Raza Naqvi
      9910432877

      Like

  2. Assalaamu alaykum,

    Subhana Allah,

    These are simply pure pearls of wisdom coming from the Imam Alahissalaam.

    Brother I would appreciate if the other poems by Imam Ali alaihissalaam are also published in english and urdu.

    Jazaaka Allah khairun.

    Regards.

    Like

  3. HAZRAT ALI (A.S)
    se kisi ne poocha k Dunya ka sub se Ameer Admi kon hy?

    To AAP ne farmaya
    “Dunya ka Ameer shakhs woh hy jis k
    Dost Mukhlis hon”.

    Like

  4. Duniya mey du he nam hey
    Aik Haider aur ak Hussain
    Ak paiyeda hu ker Kaba mey Islam bana giya
    Dusarah Shaheed hu key Karbala mey Islam Bacha giya

    Like

  5. Hain kon aisa jo mehkoom e BUTRAB nhi
    guroob ho k na palty to aftab nhi

    Raza e khilaq e konain, nafs e PAYAMBER
    ALI ALI hain ALI ka koi jawab nhi …..

    Like

Leave a comment

Dehlidarvesh

Dastāñ Barresagēr Ki

हमारा जौनपुर

शिराज़ ए हिंद

WordPress.com News

The latest news on WordPress.com and the WordPress community.

यही है वह जगह

काशी विश्वविद्यालय और बनारस पर

Kashifiat's Blog

Observations, Feelings & Emotions

Message of Peace

Peace, Brotherhood and Humanity....