Mushkil main kaam aati hy Mushkil kusha a.s ki baat


QASEEDAS BY
DR. GHAZALA AGHA

Mushkil main kaam aati hy Mushkil kusha a.s ki baat
KhyMber shikan ka tazkera Mushkil kusha a.s ki baat

razo-o-niyaz paish-a-hijab-a-kamaa’n thay kya
Mushkil kusha ka zikr tha Mushkil kusha ki baat

ik neend sy raza-a-Khuda le!! Khuda nay bhi
shab bhr parrha qaseeda ki Mushkil kusha ki baat

meyaar-a-haq-o-baatil-o-meezan-a-adal bhi
Mushkil kusha ka zikr ya Mushkil kusha ki baat

Tabraiz Shams , Shafaie , Shebaz or Baree
sab ka yay he vazeefa tha Mushkil kusha ki baat

ghabra na dil tu qabr main munkir nakeer sy
mushkil ggharri hy chairr dy Mushki kusha ki baat

mujh sy savaaly jaa’n na kia Izraieel ny
dil main Ali a.s tha lab py the Mushkil kusha ki baat

dunya bhi dee’n bhi haqq bhi Khuda bhi khudaai bhi
sab kuch milay ga kijiay to Mushkil kusha ki baat

virdy zabaa’n to Naady Ali a.s umr bher rahi
ya baat ki to baat main Mushkil kusha ki baat

laanat Khuda ki munkar-a-Haider !!! nahi kiiyaa
mushkil kusha ka zikr na Mushkil kusha ki baat

dushman tera halaak tha ger sir na taykta
kertay hi ban parri usy usy Mushkil kusha ki baat

merhab pukaara al-amaa’n anter laraz uttha
taigh-a-Ali sy jab suni Mushkil kusha ki baat

Musa savaal-a-noor !!! Khuda sy kia tha ku !!
Mushkil kusha sy maangtay Mushkil kusha ki baat

kis ism ki talaash main pphirta hy der bader
aazam bhi or azeem hay Mushkil kusha ki baat

tera januu abus hy tera ishq bay kamaal
dil sy agr na ker saky Mushkil kusha ki baat

tasbeeh meri darood mera or meri namaaz
mera Ali a.s hy ya meray Mushkil kusha ki baat

ku muztarib hy jan teri rooh bayqaraar
kaano sy dil ky sun kabhi Mushkil kusha ki baat

agha munaafiqqo main nahi chup saky ga tu
likkhi hy tery chehray pay Mushklil kusha ki baat

~~ 2 ~~

Malaal dil ko mery subh-o-sham rehta hy
mery siva unhain sab ka khayaal rehta hy

her ik sada meri takkra ky loat aati hy
sama’ato’n ko magr intazaar rehta hy

may nahi chand ky maathy py likhuu naam-a-Ali a.s
di machal utthy bhi to !! paas-a-adab rehta hy

na divana hi hoa na mujhy sehra hi mila
rashk Behlool ki qismat pay barra rehta hy

kitni aankhai’n hain ky sairaab hoi pyas unki
kitni aankho’n sy rvaa’n khon-a-jigar rehta hy

tu to Mola hy jahaano ka teri sab pay nazar
meyray lab per to faqat naam tera rehta hy

aan-a-vaahid ko bhi ghaafil nahi tujh sy jabky
saya bhi jism sy saa’ay may juda rehta hy

baarha dard ki shiddat sy tarrap uttha dil
tu jo mera hy to ku mujh say neha’n rehta hy

na hoay dunya kay dil sy na tery ban paayy
haif qismat pay jo rehta hy to sach rehta hy

jaanty boujhtay bhi khud ko gira dayta hu !!
tu sambhaaly ga mujhy tujh py yaqee’n rehta hy

da’ain ba’ain kabhi aagy kabhi peechay meray
sath to chalta hy per saath kaha’n rehta hy

hamsafer kaysa hy hamraaz vo damsaaz mera
baat kerta bhi nahi mehv-a-sukhan rehta hy

koi devana kahey koi pukaaray majnuu
agha bhi aik hy vo tujh may magan rehta hy

‎****~~~~~~~~~~~******~~~~~~~~~~~~****

~~ 3 ~~

Tamanna-a-sana-a-Haider_a-karrar(a.s) hy dil main
qalam aajiz hy hayraa’n lafz ik larzaa sa hy dil main

main mutlaqq aajiz-o-muflis saraapa tu ata Mola
yay teyra ishq bhi teyre ata hy bay samer dil main

vo lamha kya tha jab do hi thy ik makhlooq ik khaaliq
kiay us noor kay tukrray na ho shak koi phir dil main

utaara bhi to Kaaby main banayaa phir usay qibla
guma’n tujh per khudaie ka na ho kis trha phir dil main

agr main ubd hu teyra tu phir ku tu nahi meyra
yahi ik baat reh reh ker chubha kerti hy phir dil main

kahu main kaash !! ay Mola mujhy tujh sy mohabbat hy
na ho paas-a-adab teyra na ho khoaf-o-khatr dil main

bhula dy aap apna Shams or Shehbaz ki maanind
tabhi hota hy phir payda mohabbat ka asar dil main

main ik lehza bhi teri yad sy ghaafil na ho jaauu
yehi ik khoaf hy mujhko yehi rehta hy dar dil main

main kya januu Ali(a.s)kya hy Nabi(s.a) jaany Khuda jaany
nahi kehta nusairii ki tarha tujh ko !!magr!!!dil main

koi din ho meyri aankhain bajuz teyray na kuch daykhain
vohi vaqt-a-naza’ tehray na ho kuch or phir dil main

to phir ku gardish-a-aieyaam sy khaai’f hy tu agha
Ali(a.s)Mushkil kusha rehta hy jab banker super dil main

Syed Mohamad masoom Abidi

Published by S.M.Masum

Retired Banker, India

13 thoughts on “Mushkil main kaam aati hy Mushkil kusha a.s ki baat

  1. Musa savaal-a-noor !!! Khuda sy kia tha ku !!
    Mushkil kusha sy maangtay Mushkil kusha ki baat

    waah! kya shirkiya aqaaid haiN…..
    bohat khooob!

    Like

    1. 1)Huzur ne Farmaya,”main aur Ali aise hai jaise Musa aur Harun, par mere bad nabi nahi.
      2) ”Jisko Ali se muhabbat nahi, use mujhse muhabbat nahi.”

      Like

    1. Dear brother Muslim,

      Allah is the one who helps us all. But has Allah helped anyone in person? Allah helps us through “Wasila”. We know Allah through “wasilas” which are the prophets and Allah’s other pious people. It is Wahabi thinking that people are done with completely after they die. If that is true, then there is no need to go to graves or our loved ones and pray for them, do Eisaal -e-Sawab like reciting Quran, feeding the poor, building a mosque, getting a well dug for people etc etc. So people who bodily are not in this Zahiri Dunya, still exist. Therefore, Prophet Muhammad s.a. and Moula Ali a.s also exist, and we call upon them for help. There is a very fine point that you should understand…Asking for help from Moula Ali is actually asking Allah’s help through Moula Ali. And when Moula Ali helps, he helps by Allah’s wish and Allah’s command.
      Ali a.s helped Prophet Muhammad s.a on the night of Hijrat by sleeping in the prophet’s bed. The prophet asked Ali a.s to help him by doing so. Who helped him? It was Allah, of course who helped him…but through Ali a.s.
      In the battle of Khyber, the holy prophet s.a. asked Ali a.s. for help to conquer the castle of Khyber. So Allah made Ali a Wasila to help the prophet s.a.
      In Quran, Allah says (I am quoting the words as best as I remember…they may not be exaxt words from Quran…please check the Quran to verify): “Don’t consider Shuhada as dead…they are alive and get rizq from Allah.” So how can you consider the holy prophet s.a, Ali a.s and other such men of God as “no longer in dunya.”

      Syed Mudassir Ali.

      Like

  2. Allah is the one who helps us all. But has Allah helped anyone in person? Allah helps us through “Wasila”. We know Allah through “wasilas” which are the prophets and Allah’s other pious people. It is Wahabi thinking that people are done with completely after they die. If that is true, then there is no need to go to graves for our loved ones and pray for them, do Eisaal -e-Sawab like reciting Quran, feeding the poor, building a mosque, getting a well dug for people etc etc. So people who bodily are not in this Zahiri Dunya, still exist. Therefore, Prophet Muhammad s.a. and Moula Ali a.s also exist, and we call upon them for help. There is a very fine point that you should understand…Asking for help from Moula Ali is actually asking Allah’s help through Moula Ali. And when Moula Ali helps, he helps by Allah’s wish and Allah’s command.
    Ali a.s helped Prophet Muhammad s.a on the night of Hijrat by sleeping in the prophet’s bed. The prophet asked Ali a.s to help him by doing so. Who helped him? It was Allah, of course who helped him…but through Ali a.s.
    In the battle of Khyber, the holy prophet s.a. asked Ali a.s. for help to conquer the castle of Khyber. So Allah made Ali a.s a Wasila to help the prophet s.a.
    In the Holy Quran, Allah says (I am quoting the words as best as I remember…they may not be exaxt words from the Quran…please check the Quran to verify): “Don’t consider Shuhada as dead…they are alive and get rizq from Allah.” So how can you consider the holy prophet s.a, Ali a.s and other such men of God as “no longer in dunya.”

    Syed Mudassir Ali.

    Like

  3. myn tmhein btata hn Allah sub ko Direct mangney sy he daita haiiii……..Allah Subhanowtaala roz subha sadiq k waqt Awaz lagatey hain keh koi hai olad mangney wala,koi hai dolat mangney wala,koi hai sehat mangney wala,,,,myn usey ye sub doon…..purao sirf Allah ko phr he wo daitey hain….Allah ny direct mangney ko kaha hai….na keh koi waseela ki baat ki hai….just ye farmaya keh hai koi mujh sy mangney wala myn usey nawaz doon….and waseela sirf Allah k pyarey pyarey namoo ka diya ja sakta hai,,,,Jaisey Aye Allah tuu raheem hai,thjhe teri is sifat ka wasta mujh pe bhi rehm farma,,,,ya phr apney achey aamal ka diya ja sakta hai…baqi koi bhi waseela qabil e qabool nai hai….and aj kal jo log mazaar pe jatey hain us murda ko wasta bana k dua krty hain…..kehtey hain ye hamari baat Allah tak puncha deen geen….Bilkul nai…wo is dunya sy rukhsat ho gaye….NAIKJ LOG THY WO CHALEY GAYE….ALLAH QURAN MEIN FARMATA HAI KEH”UNKO YE BHI NAI PATA KEH WO KUB QABAR SY OTHYE JAYEEN GEEN….”ISLIYE MUSKILKUSA’HAJAAT RAWA,DATA.GHAREEB NAWAZ’ ALLAH TAALA HE HAIN AUR KOI NAI…..

    Like

    1. Salam
      Beshak allah kabse hai koi nahi janta kaha hai kab tak hai kesa hai kisi ko nahi malum.hame sirf itna hi malum hai ki allah aazal se hai or hamesha rahe ga wo apne bando ke qarib hai.lekin hame ye baat kis ne batai ?kya allah ne har aisan se baat ki sab insano ko khud hi bata diya ki mein allah hu.nahi balki usne apne aapko pehchan wane ke liye apne nabiyo ko bheja taki wo zamin par jae or logo ko meri ibadat sikhae mere bare mein batae.jab khuda apne nabiyo ke wasile se khudko pehchanwa raha hai jabki allah ko kisi wasile ki zarurat nahi hai phir bhi usne nabyo ka zariya bana ya taki insano ko pata chal sake ki jab allah ki marefat untak beger wasile ke nahi aai.or qurane majid mein allah farmata hai ki hal jazaul aehsan illal aehsan.to har insan ka farz hai ki jab bhi wo allah ku bargah mein jae to un nabiyo ko yaad kare jinhone har taklif bardasht ki lekin kabhi bhi allah ki ibbadat nahi chodi or unke wasile se hum jese gunhgar insano ko allah ki marefat mili to unka hi wasilah bana kar allah se duwa kare.naki ye kahe ki allah ko beger wasile ke bulao.jab allah ki marefat beger nabiyo ke wasile ke insano tak nahi aai to phir kese insan beger wasile ki khuda tak pohanch sakta hai.

      Like

Leave a comment

Dehlidarvesh

Dastāñ Barresagēr Ki

हमारा जौनपुर

शिराज़ ए हिंद

WordPress.com News

The latest news on WordPress.com and the WordPress community.

यही है वह जगह

काशी विश्वविद्यालय और बनारस पर

Kashifiat's Blog

Observations, Feelings & Emotions

Message of Peace

Peace, Brotherhood and Humanity....