Manqabat ~ Wasila-e-Hasan-e-mujtaba se milta hai


hassan.jpg

Wasila-e-Hasan-e-mujtaba se milta hai

WASILA-E-HASAN-E-MUJTABA SE MILTA HAI
JO MAANGTA HUUN DAR-E-FATEMA SE MILTA HAI

SHAUUR-O-FIKR KO SADIYON SE RIZQ-E-GOYAAI
KHAMOSHI-E-HASAN-E-MUJTABA SE MILTA HAI

MUHAMMAD-O-ALI-O-FATEMA HUSAYN-O-HASSAN
JO KUCH BHI MILTA HAI IN KI ATAA SE MILTA HAI

NIZAAM-E-AMN-O-AMAAN KO SIBAAT DUNYA MEIN
IMAM-E-AMN TERE NAQSH-E-PAA SE MILTA HAI

HAR EK BAAT TERI AAYATON MEIN DHALTI HAI
HAR EK HUSN-E-AMAL MUSTAFA SE MILTA HAI

YE BAAT KEHTI HAI KHUD MOHLAT-E-SHAB-E-AASHUUR
MIZAAJ-E-SHAH-E-HUDA MUJTABA SE MILTA HAI

MAZAA JO MILTA HAI MADH-E-HASAN SE ROZE MEIN
WO ZAAIKHA KAHIN AAB-O-GHIZA SE MILTA HAI

MUNAAFIQAT KI FIZAA MEIN SUKOON-E-AMN-O-AMAAN
IMAAM-E-AMN KI MADH-O-SANAA SE MILTA HAI

karbala_image.gif

Teer Khaakar Galey Par Hasaa Kaun Hai

TEER KHAAKAR GALEY PAR HASAA KAUN HAI
FAATEH-E-JUNG-E-KARBOBALA KAUN HAI

POOCHHLO BISTAR-E-MUSTAFA SE ZARAA
JAANASHEEN-E-RASUL-E-KHUDA KAUN HAI

NAZ’AME QABR MEIN ARSAE HASHR MEIN
YE BATAA TERAA MUSHKIL KHUSHA KAUN HAI

SHAUQ SE JHOOMKAR PHIR YE QUR’AN PARH
JAAN LE NUQTA-E-TEHTEBA KAUN HAI

YUN HI DETA NAHIN WO DUA MEIN ASAR
DEHKTA HAI KHUDA WAASTA KAUN HAI

DEKHNA ARSHE AAZAM PA MERAJ MEIN
KAUN SUNTA HAI AUR BOLTA KAUN HAI

KHASRE BAATIL KO DHADE JO TAKHRIR SE
SAANI-E-FATEMA KE SIWA KOUN HAI

wassalam

Published by S.M.Masum

Retired Banker, India

26 thoughts on “Manqabat ~ Wasila-e-Hasan-e-mujtaba se milta hai

  1. Ek Tashnalab K Kadmo ne abaad ker dia, Pani ki bund-bubd ne dill shad ker dia, qaidi band k rakkha tha fauje yazid ne, ABBAS ne furat ko aazad ker dia.

    Like

  2. Aaj mehfil-e-milad hay. Aur meray pass koi kalam imam-e-hasan pay nahi tha.
    Ye manqabat (Wasila-e- Hasan-e-Mujtaba say milta hay)liay ja raha hoon. Sham ko maghrib kay baad Imam Bargahe Kazmain main parhoon ga.

    Bohat Bohat Shukria

    Like

  3. “SAJDE SE KARBALA KO BANDAGI MIL GAYI;
    SABR SE UMMAT KO ZINDAGI MIL GAYI;
    EK CHAMAN FATEMA(A.S.) KA UJDA, MAGAR SAARE I S L A M KO ZINDAGI MIL GAYI.”

    Hussain is the King of Kings.

    Like

  4. SubhanAllah, Best Best Best poetry ever”Wasila-e-Hasan-e-mujtaba se milta hai” Maula Ali Mushkil kusha (AS) aap k her kaam main madadgaar hoon..Ameen.. Khubab 4m Australia

    Like

  5. taza char misrey pesh hain

    Yarab Shaoor E fikr ko itna nikhar day

    sochoon Khizaan to lazzat e Fasl e Bahar day

    Is Se bara Sila maray Sajdon ka Kuch nahen

    in se Ali ki Jooti Ka sadqa Utaar Day

    Like

  6. salaam,

    It is a beautiful kalaam mashallah. Inshallah I will be reading this here in Dallas, Tx tonight for the Viladat of Imam Hasan a.s.

    Like

  7. Aa yaye quraan hai jab zeeb-e-dastar-e-Hasan
    Har jehat se arfa -o- aala hai kirdar-e-Hasan
    Haidari paikar ka partau hai paikar-e-Hasan
    Ham mezaj-e-mursal-e-aazam hai guftar-e-Hasan
    Saqi-e-kausar k hathoon se melegi Mai zaroor
    Is liye yekja hooye hain aaj maikhar-e-Hasan
    Husn-e-yousuf per na karti aapne jan o dil nisar
    Dekh leti gar Zulaikh roo-e-zaubar-eHasan
    phir nazara jang-e-khaibar ka zamana daikhta
    Uth gaye hoti sare maidan jo talwar-e-Hasan
    Daikh lain Quraan ,Hadis o Falsafa Mantiq Usul
    Har jagah maujaud hain afkar o aasar-e-Hasan
    Manqabat k sheer likh kar tum ne sabit kardiya
    Aae Wasi-e-Jafri tum hoo namak Khawr-e-hasan
    Wasi Jafri Aligarh.+91-9411041231

    Like

  8. s/a,
    Mashallah intehai umda kalam hai….
    khuda apke zehan o qalam ko aur quvvat ata kare…
    aur apki umr ko taveel kare…

    Like

  9. Aap ke is kalam ko hussian ke baag ka phool kehta hun.
    jo kalam se dil dehlade use me hussian ka gulam kehta hun.
    From: Naushad Khan (Gwalior)M.P. 09301749145
    sarkare madina aapko kamyab or roshan kare Ameen.

    Like

  10. karte hai sab zikre hussiani Pyase ghar-ghar gali-gali
    name-a-yazidi ki rusbai aaj bhi dar-dar-gali-gali
    ——–Naushad Khan—-Gwalior

    Like

  11. kaun kahta hai k hain sirf hamare ABBAS,
    ham to kahte hain duniya k pyare hain ABBAS,
    jispe nazil hua QURAN-E wafa tum hi to ho,
    mojze dekhe hain duniya n tumhare ABBAS…
    S.M.Shamsul Ashraf

    Like

Leave a comment

Dehlidarvesh

Dastāñ Barresagēr Ki

हमारा जौनपुर

शिराज़ ए हिंद

WordPress.com News

The latest news on WordPress.com and the WordPress community.

यही है वह जगह

काशी विश्वविद्यालय और बनारस पर

Kashifiat's Blog

Observations, Feelings & Emotions

Message of Peace

Peace, Brotherhood and Humanity....