Hazrat Abbas (A. S.) ki shuja’at ka bayaan By Mir Anees


Nasr meiN Janab Zartab Saheb, Masoom Sahab Aur Mona Saheba bahot kuch likh chuke haiN,
page-1.jpg maiN Mir Anees* ke teen bUnd pesh kar raha hooN jismein maidan’e

Karbala mein Hazrat Abbas (A. S.) ki shuja’at ka bayaan hai:

naara tha ke haan aey sipah’e Sha’m, khabardaar
Abbas e dilaawar hai mera naam, khabardaar
hai qahr’e ilaahi meri samsaam, khabardaar
naizah hai mera maut ka paighaam, khabardaar

maiN lakhT e jigar saaheb’e shamsheer’e do-sar hooN
hoshyaar ke maiN sheir e ilaahi ka pisar hooN

farma ke yeh li teigh, bahaadur ne miyaaN se
ghoaRe ko jo cheiRa, na ruka laakh jawaan se
hAr waar meiN sAr girn’e lagey barg e khizaaN se
chaln’e mein ziyaada thi rawaaN, aab’e rawaaN se

jis par paRi, naazil hua qahr uss pa raza ka
thi teigh ki zarbat ke tamaaNcha tha qaza ka

hangaam e wegha bAnd thi rah amn o amaaN ki
jaaN choaRti thi na woh kisi, peer o jawaan ki
humdum thi yadullah ki teigh e do zabaaN ki
thi qatey umid uss se hAr ek dushman e jaan ki

hAr fArd ko iss teigh ka jauhar nazar aaya
saaya bhi paRa jis pa woh be-sAr nazar aaya

Aakhir meiN Josh* Malihabaadi ki eik rubaai mulaheza ho:

seeney pa mere naqsh e qadam kiska hai
rindi meiN yeh ijlaal o hasham kiska hai
zahid, mere iss haath ke saaghar ko na deikh
yeh deikh ke iss sAr pa alam kiska hai

MIRZA JAMAL
INDIA

wassalam

Published by S.M.Masum

Retired Banker, India

62 thoughts on “Hazrat Abbas (A. S.) ki shuja’at ka bayaan By Mir Anees

  1. Ya Ali Madad
    Mujhay Gazi Abbass Alamdar ki karbala may chrahi by mir anees send karaan ASAP. Khuda Tala app ko jaza day

    Like

  2. Assalamwalaikum
    aapko maula aur taufiq ataa farmaaein.
    aapki ek ek nazam per mere jaise hazaaron parvez qurbaan. main apka ehsaanmand hoon ki aapne mere maula ke baare mein itne behterin alfaaz istemaal kiya hain. main guzaarish karta hoon ki aapke paas mera email id hoga mujhe mere maula abbas aur maula hussain ke baare mein kya aap aur kush band likhakar bhej sakte hain . main apka ehsaanmand rahoonga aur maula se aapke liye dua karoonga. khuda hafiz

    Like

  3. Assalam alaikum,
    Janab Masoom Sahab,
    Thanks for your great contribution. Can you also please give full marsiya of Hazrat Abbas(A.S) “Kis sher ki aamad hai ke run kaanp raha hai……………..

    I also want complete ashaar of this-

    Wo Ali jo hai sambhale huwe nazme aalam
    jiski imdad talab karte hai Aadam Khatam
    Aisa banda ke jise Malik o Mukhtar………..

    I shall be greatful to anyone who will complete these or show me links where these are available.

    Thanks

    Like

  4. If anyone has this nazm, please share
    Kiss Sher kee aamad hay ke run kanp raha hay
    Run aik taraf nqsh-e-kuhan kanp rahah hay

    Like

  5. i am realy impressed to visit ur site.may u proseperous.kindly add material for children.

    Like

  6. plz send me qata , qasida in the glorification of different imams as much as u can on my email id. i’ll b gr8ful of u for this.

    Like

  7. karbala tu kya mange kisi ka bachpan kisi ki jawani mange,..
    par ek nayi bat sunaoon ke farat wo dariya ha jo abbas se pani mange,..

    Like

  8. Assalamo alaikum,
    Plz mujhe meer Anees sahab ka full marsiya “kis sher ki aamad hai ke ran kanp raha hai” bhejen ya ye bataen ki kahan milega.

    Faqat wassalam

    Like

    1. kis sher ki amad hai k run kaanp raha hai
      Run ek taraf charkhe kohan kaanp raha hai
      Rustum ka badan zere kafan kaanp raha hai
      har qasre salateene zaman kaanp raha hai

      shamsheer bakaf dekh ke Haider k pisar ko
      Jibreel larazte hain samete huwe pare ko

      Like

      1. salam alekum masha allaha bahut acche band hai allaha aap ko salamat rakhe aur aap ke har dili murad maula abbas pure kare

        Like

  9. Salaam ale kum

    Allah salaamat rakhay aap sab ko jo Mir Anees Sahab kay marsiyee translation kay saat site par hai. Aur Mirza Jamaal sahab ko bhi salaamat rakhay kay unhi nay kafi collection net par upload kiya hai

    Like

  10. YA ALI MADDAD
    please mujhy Hazrat Abbas ki jung e safeen ki larai khud Mir Anees send kren to ap ki bhut mehrbani ho ge.

    Like

  11. salam
    ya ali madad
    bohat kamal poetry hai. MOLA IMAM ZAMANA A.S apsab ko apne lashkar main shamil farmaen. (ameen)
    iltimas dua
    syed ghazi abbas

    Like

  12. mai aap ka ehsanmand hu k aap ne mir anees k marsie hum tak pahchae allah aap ki taufeekat me ezafa farmae

    Like

  13. Mir Anees ka koi jawab nahi hai
    jaise ghame karbala jitna purana hota jata hai utna iska weqar baland hota jata hai waise hi Mir saheb k ashaar
    zulfiqar

    Like

  14. ghazi ke shujaat ka ye unwan bhe hoga mashkize me dariya hai to toofan bhe hoga
    abbas ke parcham ki taraf gour se dekho panja hai to baiyat ka gireban bhe hoga

    Like

  15. salaam walaikum
    janab bohet khushi hoti hai jab dekhta hu k aaj k zamana mai bhe maula k azadar itne dil se azadari kartai hai kasam khuda ke maula sab ko eska sela zaroor de gai
    khudahaffiz

    Like

  16. salam.bhai mje meer aness ki gazal chaheye.mr ne bht search ky par mile nhe.gazal ye hai
    abbass(a.s) abbro me teri farq ayega
    pani peya thu nam e wafa dobb jayega

    Like

  17. mashallah allah salamat rakhe apko k apne is sher ko apne website p diya …i really like ur website can u add ome more shair of meer anees abt maula abbas.may god bless u….ameen.

    KHUDA HAFIZ

    Like

  18. insaan nahi farishta the mir anees sb marhoom .karbala padne se pehle mir anees ko padh le karbala apne aap samaj aa jai gi

    Like

  19. Wafa Ko Naaz Hay Jis Per Usey Abbas Kehtay Hain
    Lagey Jo Saani e Haider Usey Abbas Kehtay Hain
    Alam Gaarhay Jo Pathat Per Usey Kehtay Hain Sab Haider
    Alam Pani Mein Jo Gaarhay Usey Abbad Kehtay Hain

    Like

  20. Abbas tuje allehe wafa yaad karenge
    paani na peeya peekh deey mauh se lagakaar
    Goore se gere reet pe bazoo ko katakar.

    Like

  21. Sinay pa meray nakshay qadam kiska hai
    Rindo may ye ijlaal o hashm kiska hai
    Waiz, meray is hath k sagar pe na ja
    Yeh dekh k meray sar pe alam kiska hai.
    (Josh)
    (Rindo meaning sharabiyo)

    Iskay jawab may Allama Natiq nauganwy sahab ka ye qata
    Thokar k nishan ko na samajh nakshay qadam
    Zeban nahi badkar ko dawae hasham
    Sar jis ne diya bayate maikhwar na ky
    Maikhwar pe ho saya figun us ka alam.

    Like

  22. Pairaw-E-Haider-E-Karrar Sey Dar Lagta Hai
    Maut Ko Meesam-E-Tammar-E-Sey Dar Lagta hai
    Parcham-E-Hazrat-E-Abbas{A.s}Sey Doori Kaisi
    Keya Tumhe Ab Bhi Alamdaar Sey Dar Lagta Hai ….

    Like

  23. pyasa dariya se jo – ”abbase” dilawar nikla
    jhoom kar boli vafa- mera ” payamber” nikla
    dafn ho jayegi – dariya ki tarayee me ”vafa”
    socha ”abbas” ne gar- ”honth” mera tar nikla

    Like

  24. I have read mir anees marsiya in english especially the book “the battle of Karbala” and I think that idiomatic comparisons,merit and the words are very much precious and I believe that “when we try to achieve the money and respect of this destructable world,it spoils your respect in world and also your morality,but when we try to furnish our morality it garnishes both our world and morality but this way lead beyond heavens.Ya Ali(a.s)Madad

    Like

  25. ABBAS BHE HAI APNY MUHAMMAD KA MUHAFIZ
    .
    CHARAY SAY ALAMDAR LAGY SHER-E-JARI BHE
    .
    AK WAQT MAY DOU RUOP DIYA USKO KHUDA NAY
    .
    AK JISM MAY GAZI,ABU-TALEB BHE ALI BHE…

    Like

  26. Abbas ka sahil pe alag hi jalal hai,
    Abbas apne aap me khud Bemisal hai,
    Dariya ko apne chullu me lejayga SAQQA,
    Rokega koun sher ko kiski majal hai….

    Like

Leave a comment

Dehlidarvesh

Dastāñ Barresagēr Ki

हमारा जौनपुर

शिराज़ ए हिंद

WordPress.com News

The latest news on WordPress.com and the WordPress community.

यही है वह जगह

काशी विश्वविद्यालय और बनारस पर

Kashifiat's Blog

Observations, Feelings & Emotions

Message of Peace

Peace, Brotherhood and Humanity....