Karbala by Mir Babar Ali Anees 1803-1874


fatmiya

Jab ran mein sarbaland Ali ka alam hua”

mir aneesKarbala by Mir Babar Ali Anees

1803-1874.

Visit for Marsiya Videos

Jab qata ki masafat e shab aaftaab ne
Jalwa kiya sahar ke rukhe behijaab ne

Dekha suwe falaq Shahe gardoon rakaab ne
Mudh kar sada rafeeqo ko di us janaab ne

Aakhir hai raat hamd o sanaye Khuda karo
Utho fareezaye sahri ko ada karo

Haan ghaaziyon ye din hai jidaal o qitaal ka
Yaan khoon bahega aaj Mohammad ki aal ka

Chehra khushi se surkh hai Zahra ke laal ka
Guzri shabe firaaq din aaya visaal ka

Hum wo hain gham karenge malak jin ke waastey
Raatein tadap ke kaati hai is din ke waastey

Ye sunke bistaron se uthe wo Khuda shinaas
Ek ek ne zebe jism kiya fakhira libaas

Shane muhasino mein kiye sab ne be hiraas
Baandhe amame aaye imame zaman ke paas

Rangeen abaayein dosh pe kamre kasey huwe
Muskh o zibaad o itr mein kapde basey huwe

Khaime se nikle Shay ke azeezaane khush khisaal
Jin mein kayi thay Hazrate Khairun nisa ke laal

Qasim sa gul badan Ali Akbar sa khush jamaal
Ek jaa Aqeel o Muslim o Jafar ke nau nihaal

Sab ke rukhon ka noor sipahre bareen pa tha
Athara aaftaabon ka ghuncha zameen pa tha

Nagaah charkh par khate abyaz huwa ayaan
Tashreef jaanemaaz pe laaye Shahe zamaan

Sajjade bich gaye aqabe Shahe ins o jaan
Saute Hasan se Akbar e Mahrooh ne di azaan

Har ek ki chashm aansuon se dab daba gayi
Goya sada Rasool ki kaano mein aagayi

Namoose Shaah rotey thay khaime mein zaar zaar
Chupke khadi thi sahn mein bano e naamdaar

Zainab balayein leke ye kahti thi baar baar
Sadqe namaziyoon ke muazzin ke main nisaar

Karte hain yoon sana o sifat Zul Jalaal ki
Logon azaan suno meri yousuf jamaal ki

Ye husn e saut aur ye qirat ye shad o madd
Haqqa ke afsahul fusuha thay inhi ke jadd

Goya hai lahn e Hazrat e Dawoode ba khiradd
Ya Rabb rakh is sada ko zamane mein taa abadd

Shu’be sada mein pankhadiyaan jaise phool mein
Bul bul chahak raha hai riyaaz e Rasool mein

Saf mein huwa jo naraye qad qaamatis salaat
Qaim huwi namaaz uthey Shahe qainaat

Wo noor ki safein wo musalli falak sifaat
Sardaar ke qadam ke taley thi rahe nijaat

Jalwa tha ta ba arshe mu’alla Hussain ka
Mus haf ki lauh thi ke musalla Hussain ka

Quraan khula huwa ke jama’at ki thi namaaz
Bismillah aagey jaise ho yoon thay Shahe hijaaz

Satrein thi ya safein aqab e Shahe sarfaraaz
Karti thi khud namaaz bhi inki adaa pe naaz

Sadqe sahar bayaaz pe bainas sutoor ki
Sab aayatein thi mus hafe naatikh ki noor ki

Dunya se uth gaya wo qayaam aur wo qaood
Inke liye thi bandagi wajibul wujood

Wo ajz wo taweel ruku aur wo sujood
Ta’at mein neest jaantey thay apni hast o bood

Taqat na chalne phirne ki thi haath paon mein
Gir gir ke sajde karte thay taghoon ki chaon mein

Farigh huwe namaaz se jab qibla o anaam
Aaye musafahe ko jawaanan e tashnakaam

Chume kise ne dast e Shahinshaah e khaas o aam
Aakhein miley kisi ne qadam par ba ehteraam

Kya dil thay kya sipaah e rasheed o sayeed thi
Ba ham mu’anaqe thay ke marne ki eid thi

Zaari thi ilteja thi munajaat thi idhar
Waan sar kashi o zulm o ta’addi o shor o shar

Kahta tha ibne saad ye jaa jaa ke nahr par
Ghatoon se hoshiyaar tarayi se ba khabar

Do roz se hai tashna dahani Hussain ko
Haan martey dam bhi deejiyo na pani Hussain ko

Baithey thay jaanemaaz pe Shahe falak sareer
Nagaah qareeb aake girey teen chaar teer

Dekha har ek ne mudhke suwe lashkar e kaseer
Abbas uthey tol ke shamsheer be nazeer

Parwane thay siraaj e imamat ke noor par
Rokey sipar huzoor karamat zahoor par

Akbar se mudhke kahne lage Sarware zamaan
Baandhe hai sarkashi pa kamar lashkare giraan

Tum jaake kahdo khaime mein ye ay pidar ki jaan
Bachon ko leke sahn se hatt jaaye bibiyaan

Ghaflat mein teer se koi bacha talaf na ho
Darr hai mujhe ke gardane Asghar hadaf na ho

Kahte thay ye pisar se Shahe aasmaan sareer
Fizza pukari deordhi se ay khalq ke ameer

Hai hai Ali ki betiyaan kis jaa ho goshgeer
Asghar ke gahware tak aakar girey hain teer

Garmi se saari raat ye ghut ghut ke roye hain
Bachey abhi tou sard hawa paake soye hain

Baqir kahin parha hai Sakina kahin hai ghash
Garmi ki fasl ye tab o taab aur ye atash

Ro ro ke sogaye hain sagheerane maahwash
Bachon ko leke yaan se kahan jaaye faqa kash

Ye kis khata pe teer piya pe barastey hain
Thandi hawa ke waastey bachey tarastey hain

Uthey ye shor sunke Imame falaq viqaar
Deordhi tak aaye dhaloon ko roke rafiq o yaar

Farmaya mudhke chaltey hain ab bahre kaarzaar
Kamre kasoo jihaad pe mangwao raahwaar

Dekhein fizaa behisht ki dil baagh baagh ho
Ummat ke kaam se kahin jaldi firaagh ho

Khaime mein jaake Shay ne ye dekha haram ka haal
Chahre tou faqq hai aur…

Zainab ki ye dua thi ke ay Rabbe Zuljalaal
Bach jaaye is fasaad se khairun nisa ka laal

Bano e naik naam ki khaiti hari rahey
Sanndal se maang bachon se godhi bhari rahey

Boley qareeb jaake Shahe aasmaan janaab
Muztar na ho dua’en hain tum sab ki mustajaab

Maghroor hain khata pe ye sab khanuma kharaab
Khud jaake mein dikhata hoon inko rahe sawaab

Mauqa nahi bahan abhi faryaad o aah ka
Laao tabarrukaat Risaalat panaah ka

Meraaj mei Rasool ne pahna tha jo libaas
Kashti mein laayi Zainab usey Shahe deen ke paas

Sar par rakha amamae Sardare haq shinaas
Pahni qabaye paak Rasoole falaq asaas

Bar mei durust o chust tha jama Rasool ka
Rumaal Fatima ka amama Rasool ka

Kapdoon se aarahi thi Rasoole zaman ki bu
Dulha ne sunghi hogi na aisi dulhan ki bu

Hyder ki Fatima ki Hussain o Hasan ki bu
Pheli huwi thi chaar taraf Panjetan ki bu

Lut ta tha itr waadi ambar sarisht mein
Gul jhumtey thay baagh mein Rizwaan behisht mein

Poshaak sab pahan chukey jis dam Shahe zaman
Lekar balaein bhai ki ronay lagi bahan

Kehti thi hai aaj nahi Hyder o Hasan
Amma kahan se laye tumhe ab ye be watan

Rukhsat hai ab Rasool ke yusuf jamaal ki
Sadqe gayi balein tou lo apne laal ki

Hathyaar idhar laga chuke Moula e khaas o aam
Tayyar udhar huwa alam e Sayyide anaam

Duaaein maangti gird thi saidaniyaan tamaam
Roti thi thaamey chobe alam khwahare imaam

Teghein kamar mei dosh pe shamley padey huwe
Zainab ke laal zere alam aa khade huwe

Gah maa ko dekhte thay kabhi jaanibe alam
Na’ra kabhi ye tha ke nisaar e Shahe umam

Karte thay dono bhai kabhi mashware baham
Aahista poochtey kabhi ma se wo zee hasham

Kya qasd hai Alliye wali ke nishaan ka
Amma kise milega alam nana jaan ka

In nanhe nanhe haathon se uthega ye alam
Chotey qadoon mein sabse sinoo mein sabho se kam

Nikle tanoo se sibte Nabi ke qadam pe dam
Ohda yahi hai bas yahi mansab yahi hasham

Rukhsat talab agar ho tou ye mera kaam hai
Maa sadqe jaaye aaj tou marne mein naam hai

Phir tum ko kya buzurg thay jo fakhre roz gaar
Zeba nahi hai wasf e izafi pe iftekhaar

Johar wo hai jo taegh karey aap aashkaar
Dikhlado aaj Hyder o Jafar ki kaarzaar

Tum kyon kaho ke laal Khuda ke wali ke hain
Faujein pukare khud ke nawase Ali ka hain

Ab jisko tum kaho usey dein fouj ka alam
Ki arz jo salaah Shahe aasmaan hasham

Farmaya jabse uthgayi Zahra e ba karam
Us din se tumko maa ki jagah jaantey hain hum

Malik ho tum buzurg koi ho ke khurd ho
Jisko kaho usiko ye ohda sipard ho

Boli bahan ke aap bhi tou lein kisi ka naam
Hai kis taraf tawajjo e Sardar o khaas o aam

Gar mujhse poochtay hain Shahe aasmaan maqaam
Quran ke baad hai tou Ali hi ka kuch kalaam

Shaukat mein qadd mein shaan mein humsar nahi koi
Abbas e naamdaar se behtar nahi koi

Aashiq ghulaam khadim e dereena jaan nisaar
Farzand bhai zeenate pehlu wafa shi’aar

Jarrar yaadgaar e pidar fakhre rozgaar
Rahat rasaa mutee o namudaar o naamdaar

Safdar hai sher dil hai bahadur hai naik hai
Bemisl saekdon mein hazaroon mein aik hai

Aakhon mein ashk bhar ke ye boley Shahe zaman
Haan thi yahi Ali ki wasiyyat bhi ay bahan

Acha bulayein aap kidhar hai wo saff shikan
Akbar chacha ke paas gaye sunke ye sukhan

Ki arz intezaar hai Shahe ghuyoor ko
Chaliye phuphi ne yaad kiya hai huzoor ko

Abbas aaye haathon ko jordhe huzoor e Shaah
Jao bahan ke paas ye bola wo deen panaah

Zainab wahin alam liye aayi ba izzo jaah
Boley nishaan ko leke Shahe arsh baargaah

Inki khushi wo hai jo riza Panjetan ki hai
Lo bhai lo alam ye inayat bahan ki hai

Munh karke suwe qabre Ali phir kiya khitaab
Zarre ko aaj kardiya Moula ne aaftaab

Ye arz khaaksaar ki hai Ya Abu Turaab
Aaqa ke aagey hoon mein shadath se bahre yaab

Sar tan se ibne Fatima ke ru baru girey
Shabbir ke paseene pe mera lahu girey

Ye sunke aayi zaojaye Abbas e naamwar
Shohar ki simpt pehle kinkhiyoon se ki nazar

Lee sibte Mustafa ki balayein ba chashme tar
Zainab ke gird phirke ye boli wo nauhagar

Faiz aap ka hai aur tasadduq Imaam ka
Izzat badi kaneez ki rutba ghulaam ka

Sar ko laga ke chathi se Zainab ne ye kaha
Tu apni maang kookh se thandi rakhe sada

Ki arz mujhse laakh kaneezein hoon tou fida
Bano e naamwar ko suhaagan rakhe Khuda

Bachey jiye taraqqiy e iqbal o jaah ho
Saaye mein aap ke Ali Akbar ka byaah ho

Naagaah aakey bali Sakina ne ye kaha
Kaisa hai ye hujoom kidhar hai mere chacha

Ohda alam ka unko mubarak karey Khuda
Logoon mujhe balayein tou lene do ek zara

Shaukat Khuda badhaye mere ammu jaan ki
Mein bhi tou dekhoon shaan Ali ke nishaan ki

Abbas muskura ke pukarey ka aao aao
Ammu nisaar pyaas se kya haal hai batao

Boli lipat ke wo ke meri mashq lete jaao
Ab tou alam mila tumhein pani mujhe pilaao

Tohfa na koi deejiye na in’aam deejiye
Qurbaan jaaon pani ka ek jaam deejiye

Nagaah badhey alam liye Abbas e ba wafa

dauRe sab Ahle Bayt khule sAr, barahna pa
Hazrat ne haath utha ke ye ik eik se kaha
Lo Alwida ay haram e paak e Mustafa

Subhe shab e firaaq hai pyaaron ko dekh lo
Sab mil ki doobte huwe taaron ko dekh lo

Shay ke qadam pe Zainab e zaar o hazeen giri
Bano pachaad kha ke pisar ke kareen giri

Kulsoom thar thara ke baruhe zameen giri
Baqir kahin gira tou Sakina kaheen giri

Ujda chaman har ek gul taza nikal gaya
Nikla alam ke ghar se janaza nikal gaya

Nagaah udhar se teer chale janibe Imaam
Ghoda bada ke aap ne hujjat bhi ki tamaam

Nikle idhar se Shay ke rafiqaan e tashnakaam
Be sar huwe paroon mein saraan e sipaah e shaam

Bala kabhi thi taegh kabhi zer e tang thi
Ek ek ki jang maalik e ashtar ki jang thi

Allah re Ali ke nawasoon ki kaarzaar
Dono ke nichey thay ke chalti thi zulfiqaar

Shana kata kisi ne jo roka sipar pe waar
Ginti thi zakhmiyoon ki na kishtoon ka tha shumaar

Utney sawaar qatl kiye thodi daer mein
Dono ke ghodey chup gaye laasho ke dhaer mein

Kis husn se Hasan ka jawane haseen lada
Ghir ghir ke surate asad e khushmgeen lada

Do din ki bhook pyaas mein wo mahjabeen lada
Sahra ulat ke yoon koi dulha nahi lada

Hamle dikha diye asad e kirdgaar ke
Maqtal mein sooye arzak e shaami ko maar ke

Chamki jo taegh Hazrate Abbas e arsh jaah
Roohul ameen pukarey ke Allah ki panaah

Dhaloon mein chup gaya pisar e saad ru siyaah
Kushtoon se band ho gayi aman o amaan ki raah

Jhapta jo sher shoakh mein darya ki saer ke
Le li tarayi taeghon ki moujoon ko phaer ke

Be sar huwe muwakkil e sar chashma e furaat
Hal chal mein misl e mouj safoon ko na tha sabaat

Darya mein girke fout huwe kitne bad sifaat
Goya habaab hogaye thay nuqta e hayaat

Abbas bhar ke mashk ko yoon tashnalab laday
Jis tarah naharwaan mein ameer e arab laday

Aafat thi harb o zarb e Ali Akbar e diler
Ghusse mein jhapte ser pe jaise garsina sher

Sab sar buland past zabardast sab thay zer
Jangal mein chaar simpt huwe zakhmiyoon ke dher

Siraan ke utre tan se jo thay rann chadhey huwe
Abbas se bhi jang mein kuch thay badhey huwe

Talwaarein barsi subh se nusfun nihaar tak
Hilti rahi zameen laraztey rahey falak

Kaampa kiye paroon ko simte huwe malak
Na’rey na phir wo thay na wo taeghon ki thi chamak

Dhaalon ka daur barchiyoon ka auj ho gaya
Hangaam e zuhr khatema e fauj ho gaya

Lashe sabho ke sibte Nabi khud uthake laye
Qatil kisi shaheed ka sar kaatne na paye

Dushman ko bhi na dost ki furqat Khuda dikhaye
Farmatey thay bichad gaye sab hum se hai haye

Itney pahaad gir padey jis par wo kham na ho
Gar sou baras jiyoon tou ye majma baham na ho

Kham hogaye ye daagh uthake Imame deen
Jhuk kar bana hilaal e Nabi ka mahe jabeen

Yoon dard mein tadap ke kiya nalaye hazeen
Hilne lage pahaad larazne lagi zameen

Aayi jigar ko taab na is waaredaat ki
Khushki mein lagi doobne kashti hayaat ki

Jab saff kashi ki dhoom huwi qatl gaah mein
Tasweer e marg phir gayi sab ki nigaah mein

Doobe rafiq e yusuf e deen haq ki chaah mein
Daftar khula ajal ka Hussaini sipaah mein

Jaanbaaziyaan dikhake jari naam kar gaye
Khaake shifa pa noor ke daane bikhar gaye

Jis waqt aamad aamade saif e Khuda huwi
Hal chal padi har ek ke dar pe qaza huwi

Nabood zindagi huwi hasti fana huwi
Himmat dilon ke jism se quwwat juda huwi

Labrez hokey umr ke saaghar chhalak gaye
Kaampi zameen pahaad jagah se sarak gaye

Maidaan mein jab riyaaze Hussaini khizaan huwa
Dunya se kaarwaan Shahe deen ka rawaan huwa

Darya e khoon mein gharq har ek naujawaan huwa
Hamshakle Mustafa bhi shaheedey sinaan huwa

Rotey thay Shaah lasho mein tanha khade huwe
Thay khaak par kaleje ke tukde padey huwe

Garmi ka roz jang ki kyon kar karoon bayaan
Darr hai ke misl e shama na jalne lage zabaan

Wo loo ke al hazar wo hararath ke al amaan
Rann ki zameen tou surkh thi aur zard aasmaan

Aab e khunukh ko khalq tarasti thi khaak par
Goya hawa se aag barasti thi khaak par

Wo loo wo aaftaab ki hiddat wo taab o tab
Kala tha rang dhoop se din ka misaal e shab

Khud nahr e alqama ke bhi sukhey huwe thay lab
Khaime jo thay hibaabon ke tap te thay sab ke sab

Udhti thi khaak khushk tha chashma hayaat ka
Khoula huwa tha dhoop se pani furaat ka

Jheelon se chaar paaye na uthte thay taaba shaam
Maskan mein machliyoon ke samandar ka tha maqaam

Aahu jo kahile thay tou cheetey siyaah faam
Patthar bhi sab pigal gaye thay misl e moum khaam

Surkhi udhi thi phoolon se sabzi gayaah se
Pani kuwein mein utra tha saaye ki chaah se

koson kisi shajar mein na gul thhe na barg o baar
ek ek nakhal jal rahaa thaa suurat e chinaar

hanstaa thaa koi gul na lahakataa thaa sabzaraar
kaantaa hui thi suukh ke har shaakh e baar daar

garmi ye thi ki zeest se dil sab ke sard thhe
patte bhi masle e cheharaa e madquuq zard thhe

girdaab par thaa shola e javaalaa kaa gumaan
angaare thhe habaab to paani sharar fishaan

muunh se nikal parhi thi har ek mauj ki zabaan
tah par thhe sab nihang magar thi labon pe jaan

paani tha aag garmi e roz hisaab thi
maahi jo seekh e mauj tak aayi kabaab thi

aainaa e falak ko na thi taab o tab ki taab
chhipane ko barq chaahati thi daaman e sahaab

sab ke sivaa thaa garm mizaajon ko iztiraab
kaafuur e subah Dhuundhtaa phirtaa thaa aaftaab

bhadaki thi aag gumbad e charkh e asiir mein
baadal chhipe thhe sab kurrah e zamharir mein

Sher uthte thay na dhoop ke maarey kachaad se
Aahu na munh nikaalte thay sabz zaar se

Aaina mahr ka tha mukaddar ghubaar se
Gardoon ko tapp chadi thi zameen ke bukhaar se

Garmi se muztarib tha zamana zameen par
Bhun jata tha jo girta tha dana zameen par

Aabe rawaan se munh na uthate thay jaanwar
Jangal mein cheetey phirtey thay ta’ir idhar udhar

Mardam thay saath pardon ke andar araq mein tar
Jis khana e mizaa se nikalti na thi nazar

Gar chashm se nikal ke tahar jaaye raah mein
PaRh jaaye laakh aabley paaye nigaah mein

Is dhoop mein khade thay akayle Shahe umam
Na daaman e Rasool tha na saaya e alam

Oudi thi lab zabaan mein kaante kamar mein kham
Sholay jigar se aah ke uthti thi dam badam

Be aab teesra tha jo din mehmaan ko
Hoti thi baat baat mein miknat zabaan ko

Kahta tha ibne saad ke ay aasmaan janaab
Bayyat jo keejiye ab bhi tou hAazir hai jaame aab

Farmatey thay Hussain ke ay khanuma kharaab
Darya ko khaak jaanta hai ibne Bu Turaab

Faasiq hai paas kuch tujhe Islaam ka nahi
Aab e taba ho ye tou mere kaam ka nahi

Garjum ka naam loon tou abhi jaam leke aaye
Kausar yaheen Rasool ka ehkaam leke aaye

Roohul ameen zameen pa mera naam leke aaye
Lashkar malak ka fatah ka paighaam leke aaye

Chahoon jo inqilaab tou dunya tamaam ho
Ulte zameen yoon ke na koofa na shaam ho

Farmake ye nigaah jo ki suwwe zulfiqaar
Tharrake pichley paaon hata wo sitam shi’aar

Mazloom par safoon se chaley teer beshumaar
Awaaz e kous harb huwi aasmaan ke paar

Naize uthake jang par aswaar tul gaye
Kaaley nishaan sipaah e saeron mein khul gaye

Jab rann mein taegh toul ke Sultaan e deen badhey
Geethi ke thaam lene ko roohul ameen badhey

Manind sher e haq kahin tahre kahin badhey
Goya Ali ulat te huwe aasteen badhey

Jalwa diya jari ne uroose musaaf ko
Mushkil kusha ki taegh ne chorda ghilaaf ko

Allah re taezi o barsh is shola rang ki
Chamki sawaar par tou khabar laayi tang ki

Pyasi faqat lahu ki talabgaar jang ki
Hajat usey na saan ki thi aur na sang ki

Khoon se falak ko laashon se maqtal ko bharti thi
Sou baar dam mein charkh pe chadhti utarti thi

Seene pe chal gayi tou kaleja lahu huwa
Goya jigar mein maut ka nakhan faru huwa

Chamki tou al amaan ka ghul chaar su huwa
Jo iske munh pa aagaya be aabru huwa

Rukta tha ek waar na das se na paanch se
Chehre siyaah hogaye thay is ki aanch se

Bichh bichh gayeen safon pe safein wo jahaan chali
Chamki tou is taraf idhar aayi wahaan chali

Dono taraf ki fouj pukari kahaan chali
Is ne kaha idhar wo pukara yahaan chali

Munh kis taraf hai taegh zanon ko khabar na thi
Sar gir rahe thay aur tanon ko khabar na thi

Allah re khauf taegh e Shahe kainaat ka
Zehr ah tha aab khauf ke maarey furaat ka

Darya mein haal ye tha har ek bad sifaat ka
Chara faraar ka tha na yaara sabaat ka

Ghul tha ke barq girti hai har dar’a posh par
Bhago Khuda ke kahr ka darya hai josh par

Har chand machliyaan thi zira posh sar basar
Munh kholey chipti phirti thi lekin idhar udhar

Bhagi thi mauj chordh ke girdaab ki sipar
Thay tah nasheen nahang ubhartey na thay magar

Darya na tham ta khauf se is barq o taab ke
Lekin padey thay paaon mein chhaley hubaab ke

Phir tou ye ghul huwa ke duhayi Hussain ki
Allah ka ghazab hai ladayi Hussain ki

Darya Hussain ka hai tarayi Hussain ki
Dunya Hussain ki hai Khudayi Hussain ki

Beda bachaya aap ne toofan se Nooh ka
Ab rahm waasta Ali Akbar ki rooh ka

Akbar ka naam sunke jigar par lagi sinaa
Aansoo bhar aaye rok li rahwaar ki ‘inaa

Mudh kar pukarey laashe pisar ko Shahe zamaa
Tum ne na dekhi jang meri ay pidar ki jaa

Qasmein tumhari rooh ki ye log dete hain
Lo ab tou zulfiqaar ko hum rok dete hain

Aayi nidaye ghaib ke Shabbeer marhaba
Is haath ke liye thi ye shamsheer marhaba

Ye aabru ye jang ye tauqeer marhaba
Dikhlaadi maa ke doodh ki taaseer marhaba

Ghalib kiya Khuda ne tujhe kainaat par
Bas khatima jihaad ka hai teri zaat par

Bas ab na kar wigha ki hawas ay Hussain bas
Dam le hawa mein chand nafas ay Hussain bas

Garmi se haampta hai faras ay Hussain bas
Waqte namaz e asr hai bas ay Hussain bas

Pyasa lada nahi koi yoon isdehaam mein
Ab ehtemaam chahiye ummat ke kaam mein

Labbaik kahke taegh rakhi Shay ne miyaan mein
Palti sipaah aayi qayamat jahaan mein

Phir sarkasho ne teer milaye kamaan mein
Phir khul gaye lipat ke pharere nishaan mein

Bekas Hussain zulm shi’aroon mein ghir gaye
Moula tumharey laakh sawaroon mein ghir gaye

Seene pe saamne se chaley das hazaar teer
Chhaathi pe lag gaye kayi sou ek baar teer

Pahlu ke paar barchiyaan seene ke paar teer
Padhtey thay das jo khainchte thay tan se chaar teer

Yoon thay khudang Zille Ilahi ke jism par
Jis tarha khaar hoti hai sahi ke jism par

Chaltey thay chaar simpt se bhaley Hussain par
Toote huwe thay barchiyoon waley Hussain par

Qatil thay khanjaroon ko nikaley Hussain par
Ye dukh Nabi ki godh ke paley Hussain par

Teer e sitam nikaalne wala koi nahin
Girtey thay aur sambhaalne wala koi nahin

Zakhmo se chur chur huwa Fatima ka laal
Sarde riyaaz Ahmad o Hyder huwa nidhaal

Chehre pa khoon mal ke basad hasrat o malaal
Ki arz Shay ne shukr hai ay Rabb e Zuljalaal

Bachpan se roz o shab thi yahi aarzu mujhe
Ya Rabb tere karam ne kiya surkhuru mujhe

Is haal se jo saif ki shiddat huwi siwa
Sadma huwa juda ta’ab tashnagi juda

Aashista rahwaar se Hazrat ne ye kaha
Ab waqt hai wida ka ay asb e ba wafa

Jangal mein ghar Batool ka lut ta hai Zuljanaah
Ab saath ek umr ka chut ta ha Zuljanaah

Ay khush kharaam ab na bachega tera sawaar
Ab ye gulu e khushk hai aur taegh e aabdaar

Ab laash par ghareeb ke daudeinge rahwaar
Pamaal hoga ab Shahe mardoon ka gul’ezaar

Baithega seena e pisar e Bu Turaab par
Qatil dharega paaon Khuda ki kitaab par

Zalim mere galey pa jo khanjar phiraega
Tujh se ye haal qahr ka dekha na jaaega

Naala haram ka hashr zamane mein laaega
Farte gham o alam se jigar thar tharaega

Ab hoga saamna qalaq o izteraar ka
Naize pe sar chadhega tere shahsawaar ka

Laakhon mein ek bekas o dilgeer hai hai
Farzand e Fatima ki ye tauqeer hai hai

Bhaaley wo aur pahlu e Shabbeer hai hai
Wo zahr mein bhujaye huwe teer hai hai

Ghussey mein thay jo fauj ke sarkash bharey huwe
Khali kiye Hussain pe tarkash bharey huwe

Wo gard thi jo bhaagtey phirtey thay waqt e jang
Ek sangdil ne paas se mara jabeen pa sang

Sadme se zard hogaya sibt e Nabi ka rang
Mathey pa haath tha ke galey par laga khudang

Thama gala janaab ne mathey ko chordh ke
Nikla woh teer halq e mubarak ko todh ke

Likha hai teen bhaal ka tha naawake sitam
Munh khul gaya ulat gayi gardan ruka jo dam

Khainchi sari galey ki taraf se ba chashme nam
Bhalein nikaley pusht ki jaanib se hokey kham

Ubla jo khoon nikalta huwa dam tahar gaya
Chullu rakha jo zakhm ke nichey tou bhar gaya

Girtey hain ab Hussain faras par se hai ghazab
Nikli rikaab paaye mutahhar se hai ghazab

Pahlu shigaafta huwa khanjar se hai ghazab
Ghash mein jhukey amama gira sar se hai ghazab

Qura’an rahle zeen se sar e farsh gir padha
Dewaar e Ka’ba baith gayi arsh gir padha

Gir kar kabhi uthey kabhi rakha zamee pa sar
Ugla kabhi lahu tou sambhala kabhi jigar

Hasrat se ki khayaam ki janib kabhi nazar
Karwat kabhi tadap ke idhar li kabhi udhar

Uth baithey jab tou zakhm se barchi ke phal girey
Teer aur tan mein gadd gaye jab munh ke bhal girey

Jangal mein aayi Fatima Zahra ki ye sada
Ummat ne mujhko loot liya wa Mohammada

Is waqt kon haqq e mohabbat karey ada
Hai hai ye zulm aur dou aalam ka muqtara

Unnees sou hai zakhm taney chaak chaak par
Zainab nikal Hussain tadapta hai khaak par

Zahra idhar tadap ke giri aur haram udhar
Qatil ne taegh phaer di Sayyad ke halq par

Haatif ne aasmaan se sada di pukaar kar
Faryaad kat gaya pisar e Fatima ka sar

Be jaan lab e furaat e Shahe tashna lab huwa
Mara gaya Imame zamaan tou ghazab huwa

Dekha jo Ahlebait e Nabi ne utha ke sar
Naizey pe aaftaab e Imamat pada nazar

Daude saroon pa khaak udhatey ba chashme tar
Dekha ye haal jab sarey baleen huwa guzar

Taza lahu rawaan hai taney paash paash se
Takbeer ki sada chali aati hai laash se

Pardah ulat ke binte Ali nikli ba chashm e tar
Larzaan qadam khameeda kamar gharke khoon jigar

Charoon taraf pukaarti thi sar ko peet kar
Ay Karbala bata tera mehmaan hai kidhar

Amma qadam ab uthte nahi tashnakaam ke
Pahuncha dou laash par mere bazu ko thaam ke

Bhayya mein ab kahan se tumhein laaon kya karoon
Kya kahke apne dil ko mein samjhaaon kya karoon

Kiski duhayi doon kisey chillaaon kya karoon
Basti parayi hai mein kidhar jaaon kya karoon

Dunya tamaam ujad gayi veerana ho gaya
Baithoon kahan ke ghar tou azakhana ho gaya

Hai hai tumharey aagey na khwahar guzar gayi
Bhayya batao kya tahey khanjar guzar gayi

Aayi sada na pooch jo hum par guzar gayi
Sad shukr jo guzar gayi behtar guzar gayi

Sar kat gaya hamey tou alam se firaagh hai
Gar hai tou bas tumhari judayi ka daagh hai

Haan aashiqon Hussain ke aah o buka karo
Zahra ka saath do madad e Mustafa karo

Haqq e mohabbat e Shahe wala ada karo
Be sar huwe Hussain qayamat bapa karo

Samjho shareek e majlis e matam Rasool ko
Sab milke dou Hussain ka pursa Batool ko

Bas ay Anees za’uf se larzaan hai band band
Aalam mein yaadgaar raheinge ye chand band

Tapke qalam se za’uf mein kya kya buland band
Aalam pasand lafzein hain sultaan pasand band

Ye fasl aur ye bazm e aza yaadgaar hai
Peeri ke walwale hain khiza ki bahaar hai

Ay Momino! Hussain ka matam akheer hai


by Mir Babar Ali Anees

Bazm e azaa e qibla e alam akheer hai

Shi’yo! Shahe anaam ka matam akheer hai
Hain majlis e tamaam Moharram akheer hai

Uryaan sar hai fatah e badr o hunayn ka
De lo Batool e paak ko pursa Hussain ka

Haan aashiqaan e Shahe umam! Peeto apna sar
Ashra hai aaj aur ye qayamat ki hai sahar

Aalam ke baadshaah ka dunya se hai safar
Uth te hain taaziye ke chaley Shahe bahrobar

Rukhsat hai Shay ki ahle azaa behawaas hain
Dekho tou kaise ta’ziya khane udaas hain

Wa hasrata Imam e gharibaan ka kooch hai
Afsoos hai ke deen ke Sultaan ka kooch hai

Roanakh ke din chaley Shahe zeeshaan ka kooch hai
Rukhsat karo Hussain se mehmaan ka kooch hai

Sadma ajab tarah ka hai dil par hai jaan par
Kaisi udaasi phaeli huwi hai jahaan par

Ay noor e chashm e Ahmad e Muqtaar alwida
Ay Sayyed Ay Batool ke dildaar alwida

Ay ummat e Rasool ke ghamkhwaar alwida
Ay hum se bekasoon ke madadgaar alwida

Aah o buka se hum kabhi ghafil na hoinge
Jab tak jeeyenge aap ki ghurbat pe roinge

Ay be dayaar o be sar o samaan alwida
Ay binte Mustafa ke dil o jaan alwida

Ahmad ke baagh ke gul rehaan alwida
Das din ke mo’mineen ke mehmaan alwida

Shi’yo nisaar tere tan e paash paash ke
Ay be kafan Hussain! Fida teri laash ke

Ay jism o jaan e Hyder e karrar alwida
Ay shi’yaan e deen ke sardar alwida

Sayyad ghareeb bekas o naachaar alwida
Be khoish o be biradar o be yaar alwida

Hai hai imaam baadhon ko sunsaan kar chaley
Aqaa tamaam hind ko veraan kar chaley

Lo Shahe deen ke taziya daaro! Karo buka
Maatam ke din tamaam huwe wa musibata

Yaaro! Wida hota hai mazloom e karbala
Mehmaan dou pehar ka hai wo Shahe dou saraa

Ab maut le chali Shahe aali maqaam ko
Rukhsat karo Hussain alaihis salaam ko

Peeto mohibbo! Hind se aaqa ka kooch hai
Ro’o ke aaj Sayyed e waala ka kooch hai

Afsoos hai ke bekas o tanha ka kooch hai
Haan shi’yoon! Khaak udhao ke Moula ka kooch hai

Jee bhar ke ronay paaye na matam huwa akheer
Aashur ka bhi rozay moharram huwa akheer

Kis tarha aaye ta’ziya daaron ke dil ko chain
Har simpt roohe Fatima roti hai karke bain

Ahle azaa! Ye nauha padho ab ba shor o shain
Qurbaan teri laash ke Zahra ke noor e ain

Mohtaaj gor garm zameen par padha raha
Chalees roz dasht mein be sar padha raha

Dou din ki dhoop raat ki wo aaus hai sitam
Wo kankaroon ka farsh wo maidaan e dard o gham

Aur garm garm jhonkoon ka chalna wo dam badam
Is dukh pe saarbaan ne kiye haath bhi qalam

Sadmey guzar gaye ye tan e chaak chaak par
Hai hai ye aasmaan na gira phat ke khaak par

Lo yaaro! Ab Hussain ki rukhsat ka roz hai
Hyder ke noor e ain ki rukhsat ka roz hai

Zahra ke dil ke chain ki rukhsat ka roz hai
Sultaan e mashraqain ki rukhsat ka roz hai

Phir karbala ki simpt Shahe karbala chala
Hadi chala Imaam chala peshwa chala

Sibt e Nabi ki majlis o matam tamaam hai
Ibne Ali ki majlis o matam tamaam hai

Haq ke wali ki majlis o matam tamaam hai
Roo e sakhi ki majlis o matam tamaam hai

Aainda saal tak jo koi zinda hoyega
Phir wo shareek hokay moharram mein royega

Bas ye zareeh hogi na hoinge ye alam
Ye majlisein ye sohbatein ghar ghar se hogi kam

Mimbar ko khali dekh ke hoyega dil ko gham
Ye din wo hain ke qatl huwe hain Shahe umam

Abh taaziya uth ta hai har ik khaak udhayega
Abh tou imam baarhoon mein jaya na jaayega

Ro’o mohibbo! Aaj ke riqqat ka roz hai
Sibte Nabi ki aaj shahadath ka roz hai

Mazloom o tashnalab pa musibat ka roz hai
Sar par udhao khaak qayamat ka roz hai

Maatam tumharey aaqa ka yaaro tamaam hai
Mehmaan koi dam koi saa’at Imaam hai

Ashray ka din hai aaj mohibbaan e bawafa
Khanjar se zibhh hogaye Sultaan e karbala

Laazim ka aaj tum ko karo girya o buka
Jalti zameen par tan e uryaan parhaa raha

Ghusl o kafan diya na tan e paash paash ko
Gaada kisi ne aakey na Sayyed ki laash ko

Ay momino! Hussain ki rahlat ka waqt hai
Ay yaaro! Tumse Shaah ki rukhsat ka waqt hai

Lutne ka Fatima ki riyazat ka waqt hai
Aaqa ki ye tumharey shahadath ka waqt hai

Turbat mein jaakey zar e zameen gar na soyenge
Phir aglay saal ashray mein Hazrat ko royenge

Ro lo azizo! Phir kahan tum aur ye din kahaan
Aglay baras jo zinda thay hain khaak mein nahaan

Kya ai’temad zeesth ka dunya ke darmiyaan
Paik e ajal se dahr mein milti hai kab amaan

Kahe ko is sawaab ko haatho se kho o tum
Aainda saal ho ke na ho khoob ro o tum

Ya Rabb! Jahan e nazm e riyazat hara rahe
Gulshan ye hum jiloon se phoola phala rahe

Ahle azaa pe saaya e mushkil kusha rahe
Daamaan gul e ummeed se har dam bhara rahe

Is nazm ka Anees tujhe phir sila miley
Sadqe se Panjetan ke jo ho muddu’a miley

Nasr meiN Janab Zartab Saheb, Masoom Sahab Aur Mona Saheba bahot kuch likh chuke haiN,

page-1.jpg maiN Mir Anees* ke teen bUnd pesh kar raha hooN jismein maidan’e

Karbala mein Hazrat Abbas (A. S.) ki shuja’at ka bayaan hai:

naara tha ke haan aey sipah’e Sha’m, khabardaar
Abbas e dilaawar hai mera naam, khabardaar
hai qahr’e ilaahi meri samsaam, khabardaar
naizah hai mera maut ka paighaam, khabardaar

maiN lakhT e jigar saaheb’e shamsheer’e do-sar hooN

hoshyaar ke maiN sheir e ilaahi ka pisar hooN

farma ke yeh li teigh, bahaadur ne miyaaN se
ghoaRe ko jo cheiRa, na ruka laakh jawaan se


hAr waar meiN sAr girn’e lagey barg e khizaaN se
chaln’e mein ziyaada thi rawaaN, aab’e rawaaN se

jis par paRi, naazil hua qahr uss pa raza ka
thi teigh ki zarbat ke tamaaNcha tha qaza ka

hangaam e wegha bAnd thi rah amn o amaaN ki
jaaN choaRti thi na woh kisi, peer o jawaan ki


humdum thi yadullah ki teigh e do zabaaN ki
thi qatey umid uss se hAr ek dushman e jaan ki

hAr fArd ko iss teigh ka jauhar nazar aaya
saaya bhi paRa jis pa woh be-sAr nazar aaya

=============================

 Aakhir meiN Josh* Malihabaadi ki eik rubaai mulaheza ho:

seeney pa mere naqsh e qadam kiska hai
rindi meiN yeh ijlaal o hasham kiska hai
zahid, mere iss haath ke saaghar ko na deikh
yeh deikh ke iss sAr pa alam kiska hai

MIRZA JAMAL
INDIA

Jis Dum Yazid Shaam Mein Masnad-Nashin Hua

MIr Anees

JIS DUM YAZID SHAAM MEIN MASNAD-NASHIN HUWA,
SUB MULK ROOSIYAH KE ZEERE RANGEEN HUWA,

SHABBIR SE ZIYAD USAY BUGHZ-O-KEEN HUWA,
E’IZAAYE AHLEBAIT KE DAR PE LA’EEN HUWA;

KEHTA THA SALTANAT KA TOH SAMAAN DURUST HAI,
SAKHTI NA UNPE HO TOH RIYASAT YEH SUST HAI.

KHAT HAAKIM-E-MADINA KO LIKHA BA SHADD-O-MAD,
MAZMOON YEH THA KE TUB HAI ITA’AT TERI SANAD,

BAY’AT MERI HUSAIN SE LE TOH BA JADD-O-KAD,
MAIN FAUJ BHEJTA HOON KAREGI TERI MADAD;

BAI’YAT KAREIN TOH JALD IDHAR BHEJ DEEJIYO,
RAAZI NA HON TOH KAAT KE SAR BHEJ DEEJIYO.

POHCHA USAY MADINE MEIN JAB NAMA-E-YAZID,
PARDHKAR WO KHAT BOHOT MUTARADDID HUWA WALID,

DIL MEIN KAHA YEH ZALIM TOH HAI AQL SE BA’EED,
MAIN FATIMA KE LAAL KO KYONKAR KAROON SHAHEED;

DA’AWA-E-SALTANAT BHI NAHIN BE QUSOOR HAI,
AISE KINARAH KASH PA SITAM KYA ZAROOR HAI.

AAKHIR KISI KO BHEJ KE SHAH KO KIYA TALAB,
BHAI BHATIJE SHAH KI KHAATIR THAY SAB KE SAB,

FARMAYA USS SAY JAKAR MAIN AOONGA WAQT-E-SHAB,
MA’ALOOM HAI MUJHE JO BULAANE KA HAI SABAB;

SUB JAANTE HAIN BAIY’AT-E-FASIQ HARAM HAI,
USKI TALAB HUMEIN YEH AJAL KA PAYAAM HAI.

GHABRA GAYE YEH SUNKE AZEEZ-O-RAFIQ-O-YAAR,
QASIM NE RAKHLI SAAMNE SHAMSHIR-E-AABDAR,

AKBAR NE BHI TALAB KIYA ASBAB-E-KAARZAR,
AAYE KAMAAL-E-GHAIZ MAIN ABBAS NAMDAR;

KEHKAR YEH BAAT SAROT-E-SHER UTTH KHADE HUWAY,
HAAKIM KE GHAR NA JAAYENGE HUM BE LADE HUWAY.

ZAINAB KE DONO BETON KO USS DUM RAHI NA TAAB,
JAKAR HARAM SARA MEIN KAHA BAASADDE IZTERAAB,

HAAKIM KE GHAR MEIN JAATE HAI SHAH-E-FALAK JANAAB,
AMMA HUMARE NEEMCHAY LADEEJIYE SHATAAB;

BIGDEGI GAR TOH KHOON KE DARYA BAHAAYENGE,
KAAM AAJ BHI NA AAYE TO KIS KAAM AAYENGE.

SOON KAR SUKHAN HOGAYA ZAINAB KA RANG ZARD,
AANSU BHAR AAYE AANKHON MEIN UTTHA JIGAR MEIN DARD,

BOLI KALEJA THAAM KE AUR BHAR KE AAH SARD,
KYA WAALI-E-MADINA HAI AAMAADAH NABBASARD?

AISEE ALI KE LAAL SE TAQSEER KYA HUWI,
KYA JURM KYA GUNAAH HUWA KYA KHATA HUWI?

HAI MULK SE GHARZ NA USAY HUBB-E-JAAH HAI,
QABZE MEIN NA KHAZAANA HAI AUR NA SIPAH HAI,

LOGON SE RAABTA HAI NA GHAIRON SE RAAH HAI,
JAA-E-NASHAST QABR-E-RISALAT PANAAH HAI;

NAAHAQ YEH ZULM, HAQ SE NAHIN LOG DARTE HAIN,
JANG USS SAY JIS GHAREEB PE FAAKHE GUZARTE HAIN.

NANA HAIN USKE SAR PE NA HAIDAR HAIN NA HASAN,
SADQE GHAREEB BHAI PE HOJAAYE YEH BAHAN,

ZINDAH HAI JAB TALAK YEH TOH JEETE HAIN PANJATAN,
MARZI HAI DUSHMANON KI TOH HUM CHHORD DEIN WATAN;

GAR YAAN MILEGA CHAYN NA ZAHRA KI JAAYI KO,
JANGAL MEIN JAA RAHEGI BAHAN LEKE BHAI KO.

BHAI KO MERE PAAS BULAO SUNOON MAIN HAAL,
KYA BAAT HAI JO QAATAR AQDAR PE HAI MALAAL,

TANHA CHALA NA JAAYE KAHIN FATIMA KA LAAL,
BHAI PE KUCHH BANAY TOH KHOLOONGI SAR KE BAAL;

SHAYAD DAGHA HO JANG KA SAAMAN LIYE CHALAIN,
HAAKIM KE GHAR MEIN SAATH MUJHE BHI LIYE CHALAIN.

ZAINAB YEH KEH RAHI THI KE AAYE IMAM-E-DEEN,
MUNH DEKH SHAH KA RONAY LAGIN ZAINAB-E-HAZEEN,

FARMAYA SHAH NE ROTI HO KYON KHAUF KUCHH NAHEEN,
HAAKIM KE GHAR MEIN JAAYEGA HAIDAR KA JANASHEEN;

WO AUR HAI JAGAH TUMHEIN JISKA KHAYAAL HAI,
HAAN MUJH PE HAATH UTHHAYE KOI KYA MAJAAL HAI.

SAMJHA CHUKE BAHAN KO JO HAZRAT BACHASHM-E-TAR,
BANDHI SHAH-E-NAJAF KE KAMAR BANDH SE KAMAR,

DAALA ABAA-E-PAAK MOHAMMAD KO DOSH PAR,
LE KAR ASSA NABI KA CHALAY SHAH-E-BAHROBAR;

YUN SAATH THAY AZEEZ SHAH-E-KUM SIPAH KE,
JAISE SITAARE CHARQ PE HON GIRD MAAH KE.

USS DUM KAMAAL HAZRAT-E-ZAINAB THEEN BEQARAR,
BAIT-USS-SHARAF SE JAATI THEEN DAYWRDI PE BAAR BAAR,

ABBAS SE BULAKE KAHA AYE WAFA SHEYAAR,
BHAI KO CHHORDYO NA AKELA BAHAN NISAAR;

HAAKIM SE HUM SUKHAN JO SHAH-E-QUSH QISAAL HON,
TUM IK TARAF HO EK TARAF MERE LAAL HON.

YEH BAAT KEHKE RONE LAGI WOH JIGAR KABAAB,
CHALEES SHAQS LE KE CHALA IBN ‘BUTURAAB,

JO DEKHTA THA SHAAN-E-IMAM-E-FALAK JANAAB,
KEHTA THA WOH KE RAAT KO NIKLA HAI AAFTAAB;

RASTE MAIN SHAB KO HUSN-E-NABI KA ZAHOOR THA,
AFLAAK TAK ZAMEEN KE SITAARON KA NOOR THA.

Hazrat Abbas (A. S.) ki shuja’at ka bayaan By Mir Anees

for english translation of some part of this marsiya please visit.

For urdu marsia josh e mawaddat and yaadgaar e anis please visit..

 

Syed Mohamad Masoom Abidi

bibi_zehra

Published by S.M.Masum

Retired Banker, India

127 thoughts on “Karbala by Mir Babar Ali Anees 1803-1874

  1. Mohtaram Masum Abdi SaHab ko Allah jazaa.e Khair se nawazeh unhoN ne hameN Meer Anees ka marSiya aaj tohfe meN diya hai. Aisa koii ahle dil maiN ne nahiN dekha Meer Sahab ka marSiya paRhker jiski aaNkh num nah ho jaye. Kis qayamat ki sherriyyat hai is banday.e Khuda ke kalam men keh bus Khuda ki panaah. Hum jaise tifl.e maktab shoAra ke liye Meer Anees ka marSia mishal.e raah ki manind hai. KahiN kahiN kuch “typo” ki GaltiyaN rah gai ihaiN magar itni taweel nazm meN yeh koii Gair mutawaqoo cheez nahiN hai.

    Abdi SaHab aap ka ek baar phir shukriya.

    MuKhlis
    Jawaid Badauni
    ———————————-

    Friends: Pl join my Yahoo-group. Send E-mail to:

    mehfil_e_Jawaid-subscribe@yahoogroups.com

    Like

  2. Dear Masoom Abidi saheb.
    I am glad to read your mail & extreemly delighted to see the postal stamp on ANEES. Anees is in the heart of every momin, he is alive till gham-e-Hussain is alive which are for ever.
    I am heartfelt fan of ANEES and specially visited INDIA only to go to his qaber for fateha and to give him my respect.
    You people are doing great job. Please continue and you will be surely rewarded. I will be happy to do any thing in this good cause.
    Salaam and best wishes.
    Jafar Mehdi Abedi.
    Chairman & CEO
    AIR FALCON (PVT) LTD. Dubai & Pakistan.
    P.O.Box 8581 Dubai UAE. cell: +971.50.4524378.
    airfalcon@cyber.net.pk & abedi@emirates.net.ae

    Like

  3. Mashallah. I only had part of “Jab Qata ki Masafat”. I am so glad to have this completd. This is an excellent piece of linguistic art. May God reward you for this. I wish we hear more Anis’s Marsias in Muharram.
    Jazakallah
    Salamo alaikum
    Mohsin Ali
    New Jersey, USA

    Like

  4. Salam,

    Mashallah u have done a very good job ….i hope u continue collecting some mersias written by Hazrat Mirza Dabir…..May Janab-e-Syeda a.s reward u for ur great effort.

    Fatima Naqvi
    Toronto

    Like

  5. Mutaram
    salamaekum

    Mashallah se aap ne bahut hi umda kam kia hai. Khuda hum loogoon ko bhi taufiq da. agar koi kitab chhiye ho to uske hasil karne ka asan nuskha bta dain. yehi islaimic kutub ya marasi etc etc.
    khuda aap ko jazai khair de. wassalam
    khadim
    javed

    Like

  6. Slaam, Ya Ali Madad, Mir Anees is one of the most respectable poet in islam, specially due to his clos poetry with our Aima Masoomeen. I pray for him that allah give him stay with Ameer Al Momineen Mola Ali(E). Ameen

    Like

  7. dear Brother Salam alaikom,
    Mashallah, may Almighty Allah shower all his choicest blessings upon you, well done , it was a very great job
    wish u all the best
    mehdi baqri
    florida USA

    Like

  8. Abdi sahab,
    SA, you have done a unforgettable job in the honour of the milestone of marsiyakhwani,
    I have a gladful proud that you are our brother & did this great work to convey a worthless sukoon for us by Meer’s marsiyas.
    Khuda apko siwaye ghame imame mazloom ke kisi gham mein na rulaye.

    Khuda Hafiz
    Jafri
    BDM
    Brain Bridge Advtg. & Mktg. Pvt. Ltd.
    Allahabad

    Like

  9. To
    Syed Mohammad masoom

    mai ap ke bahut shukr guzar hou jo ap ne itenie jaldie jawab diya
    agar ho saktha hai to ap mujha sarkar anees ke our ashar bheja saktha hai to bhejeyia

    send me more ashar for mir anees

    Like

  10. Pingback: Najwa Karam
  11. Syed Mohd. Masoom sahab you have done an incredible job and I am sure the Shaheedan e Kerbala will reward for the hard work done. I will be very grateful to you if you can send me the address when I can buy the complete sets of the Marsia’s of Hazrath Mir Anees Mir. Presently I have two volumes written by Saleha Abid Hussain. I will appreciate your kind and early reply.

    Khuda Hafez

    Syed Abdul Mannan

    Like

  12. assalam-o-alaikum,

    bhai mein aap ko nahin jaanta, laikin dil se dua deta hoon aap ko, kyoun kay mujhay anees sahab kay marisiey chahiey thay aik website bananay kay liyein. student hoon, assignment mein website bana hai to mein ne socha kay iss say behtar aur koi topic nahin ho sakta. aap ka be-had shukr guzaar hoon.

    wassalam, Asim

    Like

  13. Janab Masoom Abidi Sahab
    Salam-o-Alikum

    Anees ki marsiya Khani ka sani urdu adab main aj tak koi nahee hai. Masoom sahab ne ya lajab kam english script main kar ke milat ko sarfaraz kiya hai ajar minul allah wa 14masumeen hai. wasalam

    Like

  14. Salaam Alaikum,

    Jazakallah

    May Allah and Chaharda Masoomin give you ajar for this, Great Job!!!

    W’salaam

    Zishan

    Like

  15. salam alakium..
    Mir Anees is one of the most respectable poet in islam, specially due to his clos poetry with our Aima Masoomeen. I will be happy to do any thing in this good cause.
    Salaam and best wishes..

    syed ahmer abidi from hyderabad

    Like

  16. As Salam Alayqum Any One Of You Have The Full Marsiya Of Meer Anis “Aaj Shabbir Pa Kya aalamey Tanhayi Hai” Please Any One Of You Have This Marisya. Please Tell Me

    Like

  17. Attn : Mr.Ansar Hasnain

    Aaj Shabbir Pa Kya aalamey Tanhayi Hai”
    I have this full mersia . Actualy is is recided on the 10th of Moharam at my native place .

    Pao har bar rakabo say nikal jatay hai
    Ya Ali kahti Zainab to sabhal jatay hai

    Like

      1. pls hume bhi ye marsiya send karen ……………..aaj shabbir par kya alam hai tanhayi hai………..from zehra

        Like

  18. Many thanks and wishes for your tremendous effort for making this available online for us.
    May Allah give you all the best in this word as well in Aakhirat.

    Superb Job Done By you peoples.

    Do Char Ummeedon ke Diye Ab bhi hain Roshan
    Mazi ki haveli abhi Veeran nahi hai!

    Like

  19. Jazaaqallah……
    Great effort….i was looking for Qaseeda-o-Mersiya online……
    Mir Anees will be iterated always with Zikr-e-Karbala……
    Maulaa Waaris ……

    Like

  20. Assalaam alaikum,

    Many thanks and wishes for your tremendous effort for making this available online for us.
    May Allah give you all the best in this word as well in Aakhirat.

    I have one request would it be possible to get an English tanslation of Karbala “Jab qata ki masafat e shab aaftaab ne ..”
    .
    Jazakallah

    Like

  21. Can anyone please give all ashaars of
    Abbas dashte saaqiye quwwat ka naam hai
    Abbas bu Turab ki haibat ka naam hai
    Abbas Fatima ki mohabbat ka naam hai…………

    I also want to know the name of shaer.

    Please give unpublished marsiyas of Mir Anees.

    Jazakallah khair.

    Like

    1. mangi dua sameer ne parwardigar se
      ya rab imam-e waqt ki tasweer dekh le

      dala hai isi ass se pani me arizha …
      main na bhi sahi to meri tahreer dekh le

      {2}

      yahi nahi ki faqat deen ko khushi hogi
      husain ayen hai duniya me roshni hogi

      khabar viladatey sarwar ki aam karna hai
      ali ke ghar se ye kah kar hawa chali hogi

      maza husain ki ulfat ka pooch lo unsey
      ghame husain me jannat jinhey mili hogi

      khuda se mang raha hoon husain ka sadqa
      qubool dekhna meri dua abhi hogi…….

      agar ziyarat -e sarwar naseeb ho jaye
      to phir sameer meri zindagi naee hogi..

      Like

  22. Bhai Masoom
    mashallah i gone through your website today may allah give u good health you have done a tremendous work.

    Habeeb Zaidi
    9224471169

    Like

  23. Salaamun Alikum wa Rahmatullahe wa barakatahu

    Alhmado Lillah, May Allah give u Khairal Jaza for the hard work u have done.

    I think Marsiya of Meer Anees is a Great Bounty not only for Shias but for the whole humanity. May Allah give u people more taufeeq in this religious cause, May Allah hasten the Zahoor of Imam (AS) of the Age.

    Was Salaam
    Zaheer Abbas

    Like

  24. Salaam Alaikum,

    Jazakallah Qair, Afreen Afreen, This work will give insight into the genius of Mir Anees to a person who is not familiar with reading Urdu language.
    keep up the good work and add more.

    Like

  25. salam
    iam from afghanistan but i can understand urdu very well and i really like it thanks for being this website and i really appreciated and this will help all children to learn about their religion. thanks alot
    khuda hafiz
    yvr

    Like

  26. mir anis ka kalam aaj bhi mir anis ko zinda o tabinda rakhay huy hai aur yeh kalam qayamat tak salamat rahaga aaj bhi mir anis k kalam mai wohi tazgi hai k unke salam aur marsiay aaj bhi shair apny nohon mai istamal kar rahai aur aisa lagta hai k mir anis nay yah kalam karbala mai karray ho kar likha hai

    Like

  27. yah ali madad =
    My dear friends iam very happy from all off u because u all member r struggle for this site …….plz fevour me. i want a poem .
    *zamana janey ali(a.s)kee talwar ho mae*
    Meer babar ali anees. write this poem .

    kindly send me on my email address abbas293@hotmail.com

    Like

  28. Dear Masoom Abidi saheb.
    I am glad to read your mail & extreemly delighted to see the postal stamp on ANEES. Anees is in the heart of every momin, he is alive till gham-e-Hussain is alive which are for ever.
    I am heartfelt fan of ANEES and specially visited INDIA only to go to his qaber for fateha and to give him my respect.
    You people are doing great job. Please continue and you will be surely rewarded. I will be happy to do any thing in this good cause.
    Salaam and best wishes.
    Syed M Raza Sherazi
    Pakistan.
    Cell-+92-3214187040

    Like

  29. as salamo alaikum,sabse pehle mubarak ho aur aapne waaledain ka shukr kijeye. mujhe Eid e Ghadeer ke silsile mein kuch ashaar ki zaroorat hai agar mumkin ho to jald se jald mail kare. ek baar phir mubarak ho is azeeem kaam ko anjaam de ne ke liye aur iska ajr ehsan hoga.mustakil rakhkhen. Khuda Hafiz

    Like

  30. salaam alaikum and YA ALI MADAD IMAM MADADA
    THIS IS IMRAN KHAN FROM INDIA CHENNAI CITY,
    LAST SIX MONTH,S I STARTED WRITE SOME NOWHA,S IT IS ALL ATAA FROM SDQAY-E-BIMAAR-E-KARBALAA,
    SOME BANN FROM MY KALAAM WHICH IS NOT YET MAKEN CASSATE JUST READING IN SORROUD OF MINE.
    MERA VAADA RAHA NANA MERA VAADA RAHA NANA
    MAIN KARBALAA JAUNGA TERA ISLAAM BACHAUNGA

    MOHAMMED KA NAWASA HU ZAHRA KA DULAARA HU
    QURAAN MERA BABA QURAAN KA PAARA HU
    DUNIYA KO BATAUNGA TERA ISLAAM BACHAUNGA

    Like

  31. Really ! Its a great & noble work you people have done for Momineen, Allah aur Chahrdah Masumein aap ko is ka Ajar dein gay.

    Wassalam

    S. M. Ali Rizvi

    Like

  32. Mashaallah!!
    Gr8 work done!!
    I have been searching for the material on Mir saheb for quite a while now!!
    This is really very valuable!!
    I am hoping for some more of such fruitful Zikre ahle bait!!
    wassalaam!!

    Like

  33. SALAM UN ALAYKUM,
    MASAH ALLAH BROTHER U HAVE DONE A WONDERFUL JOB.ITS REALLY A VERY GOOD COLLECTION OF MASRIYA AND IT ALSO VERY PERCIOUS FOR US.
    THANKS AGAIN

    Like

  34. salaamun alaikum.
    MEER ANEES ko KHUDA-E-SUKHAN kaha jata hai aur khuda ke kalaam ko QUR’AAN kahte hain.isliye meri nazar mein MEER ANEES KE KALAAM (MARSIYE)ko QUR’AAN-E-SUKHAN kahna chahiye.

    Like

  35. mera sayed viqar raza hai or mai Nikle haram k uth wala mersiya chahta hu, or ek mersiya jnbe ali akber shaan mai chahta hu, sir agar aap humai ye mersiye humari e-mail address pr bhej dai to mai aapka bhaut shukr gujar hunga, mai meer anees ka bhaut bad chahna wala hu, meer anees sahab jaisa likhne wala aaj tk paida nhi hua.

    Like

  36. Aslawalequm jnab,mera naam viqar hai,”NIKLE HRAM K UTH JB MAKHTAL KI RAH SE” mai ye mersiya pura chahta hu,ye mersiya JNAB MEER DAVEER sahab ka hai,jnab mai ye mersiya or ek mersiya KASIM a.s ki shadat per likha hua chahta hu,aap ye mersiye meri E-mail ID per bhej dai to apki bhaut mehrbani hogi,allah apko her buri nazar se slamat rakhe or her wo chiz de jiske ap tlabgar ho,khuda hafiz.

    Like

  37. khuada aap ko jazae khair de aap ka sar hamesha ser buland rakhe…. ur imam ke hwano ansar me shareeq kare…. babar ali anees bhi aap ko dua dete honge.

    Like

  38. SALAM ALEKUM
    MEIN YE MARSIYA PADHKAR BAHUT ROYA .AAPNE BAHUT BADA KAAM KIYA HAI ISKI JAZA TO SAVAE AHLEBAIT KE KOI BHI NAHIN DE SAKTA BUS HUM AAPKE LIYE DUA KAR SAKTE HAIN KI MOLA AAPKO OR MOMENEEN KI KHIDMAT KARNE KI TOFIEQ DE ,KHUDA HAFIZ
    SYED AHMAD HUSAIN ABIDI NOWGANWA SADAT

    Like

  39. MIR BABER ALI “ANEES”
    AND
    GHADAR
    Mir Anees in 1857 live in the area called Sahti near khalaiq bagh.Because of the conspiracy of the Britishers “GHADAR” took place there was a chaos and threat in lucknow and the areas nearby the women got miscarriaged due to the loud voices and blasts in the city.There were ” faryadi Nauhas ” were recited in every home ” Aye kul ke madadgar madad karne ko aao faryad ko pahucho” & ” ya ameeral momineen faryad hai “. These two Nauhas were recited by everyone.Even the people were not able to reach the cemetery to bury their love ones so they buried them in there homes itself. Because of the atmosphere spread in the city, to save himself and his family Mir Anees with all of his family members shifted to malihabad. Where Faqeer mohd. khan ( Goya) the son of Mohd. ahmed khan ( Ahmed) ( sahibe deewan ) made several arrangements in the orchards by putting camps there for Mir Anees and his family. He showed the true hospitality which was expected from that time of culture. Approximately after 4 months the atmosphere of Lucknow was normal as usual as earlier. So Mir Anees returned back to Lucknow.In the mean while he stayed in his student Meerza Ahmed Abbas’s home. Who used to live in Mansoor Nagar. Before the Ghadar took place Mir Anees used to live in the area Raja ki bazaar, even after Ghadar he live there in Punjabi Tola near Raja ki bazaar in Munshi Sirajuddin’s house as a tenant by paying Rs.10/- Monthly. In 1862 Mir Anees purchased a home in Sabzi Mandi (Chopdar) mohalla. That was “Gheesan” Aina Saaz’s house who was employed to KING Mohd Ali Shah.He sold his house to Mir anees receiving Rs.3300 from Mir Anees. There was also a lawn attached to this house, in the part of which Mir Anees build his Deewan khana and a pool.In the other part his brother Mir Khursheed Ali(Nafees) build a single story house and a pool by investing his own Money.He used to live there for his whole life. After purchasing this new home the old one which was in Raja ki Bazaar was sold to Tulsi Ram Kohli.On 23 july 1871 Mir Anees purchased a land near to his home for his family. He paid the desired amount Rs. 100/- to the owner (sheikh Heenga). After that he took a permission certificate from the British government for his family for burying him. After some days Mir Anees employed a gardener named Keesa. Keesa sowed different types of plants & trees in the garden and he used to present a bunch of flowers to Mir Anees from garden every day.In the meanwhile sibling of Anees (MIR NAWAB ALI) hounored by visiting the shrines of Holy Karbala, Iran, Iraq.While returning back to india he baught a plant of “date” from Iraq for the memory of his holy visit. Keesa sowed that plant in the garden of Mir Anees. That why the cemetry of Mir Anees is famoused as ” Mir Anees ki bagiya”.Atlast that era arrived when Mir Anees was critically ill. Many people came to met Mir Anees. One of them said to Mir Anees, ” Kahiye miyan Anees tabiyat bakhair hai”. Mir Aness was very seriously ill but he cant kept his tongue quiet and replied by saying,” paimana bhar chuka hai chalakne ki der hai”.In this context S.Yusuf Hussain S/O Mir Arif said that Mir Anees replied by recited this stanza,

    “Dil apna zindigi se hua bus ke ser hai,
    paimana bhar chuka hai chalakne ki der hai.”
    Atlast that evil time came on 29th shawwal 1291 hijri / 10 december 1874 AD. Mir Anees left artificial world for the original one.He died by leaving his family and friends crying and screaming after him.As soon as the news spread of Anees’s death in the city his fan following started gathering in his house. In which the Islamic scholars,hakeems,poets, etc. and all the famous personalities were also collected there. The environment was full of chaos and sorrow. In the deewan khana the poets of Anees’s family, Uns, Monis, Nafees,Raees,etc were collected. People were giving sympathy to them. Anees’s body took to Gomti for the Holy bath. After the last bath his body was taken to Imam bara Ghufran Maab. Namaze janaza was offerd by thousands of people in the presence of “Maulvi Syed Banda Hasan Sahab Mujthahid”. After that the took to the maqbare Anees.Suleiman Qadr Bhadar sibling of WAJID ALI SHAH put a black shawl on the shoulders of elder son of Mir Anees (Mir Nafees). Which is called ” shawl-e-aza”. All the people crying and shouting by uttering ” Haaye Mir sahab, Haaye Mir sahab”. Mirza Salamat Ali Dbeer’s student Sheikh Bhadar Hussain “Waheed” was also present.He quoted in one of his marsiya about the death ceremony of Mir Anees. Here only one stanza is quoted,

    “Ikyaan nabe bara saw ,jo saal aya nagahan (1291) Hijri
    Tareeqh bastwo nahum shawwal thi ayaan (29, Shawwal)
    Afsos na pasand hua maskane jahan
    Hasti se Mir Anees adam ko hue rawan
    Har dil ko dagh ,Laala ke manind de gaye
    Bagae jahan se khuld ko tashreef le gaye.”
    ——————–
    By: Allama, Dr.Syed Ali Imam Zaidi “Gauhar Luckhnavi”
    (Great Grand son of Mir Baber Ali Anees)
    E.mail: rustamzaidi@yahoo.com
    —————

    ^ Muhammad Hussain Azad- Aab-e-Hayat
    ^ Aab-e-Hayat (English Translation, Translated and edited by Frances W. Pritchett, in association with Shamsur Rahman Faruqi)
    ^ How to Read Iqbal by Shamsur Rahman Faruqi

    [edit] Trivia
    The Majlis of 25 Rajab, is historically important Majlis of Marsiya in Lucknow, in this majlis Mir Anis used to recite Marsiya. After Mir Anis well known marsiya writers of Mir Anis’s family as Dulaha Sahab ‘Uruj’, Mustafa Meerza urf Piyare Sahab ‘Rasheed’, Ali Nawab (Qadeem) and Syed Sajjad Hussain ‘Shadeed’, inherited the legacy of reciting marsiya. Presently, Dr. Syed Ali Imam Zaidi (Gauher) Luckhnavi (grandson of ‘Shadeed’) recites self composed Marsiya.

    [edit] See also
    Marsia
    List of famaus Marsia Writers
    Mir Baber Ali “Anees”
    Mirza Salaamat Ali “Dabeer”
    Mustafa Mirza(Urf)Piyarai sb.”Rasheed”
    Syed Sajjad Husain “shadeed”
    Dr.Syed Ali Imam Zaidi”Gauhar”lucknavi(Great Grand son of Mir Baber Ali Anees)

    Like

  40. YAH ALI MADAD (A.S)
    Allah ap sub ko iss ka ajar daye kae itni piyari site banai aur itnae piyare piyare comments deye .siwah-e-gham-e- hussain ( a .s)kae kio gham na ho app ko.app sub sae request hai kae shukat raza shukat .Aqeel mohsin kee kuch poetry send karin plz plz iam waiting .bye

    Like

  41. SUBHAN ALLAH! ALLAH is website k bana nay walay ko jazaye khair ata keray or mir anees k marsyay ko momino k dilo mai abad rakhay

    Like

  42. Zaigham Zaidi sa’ab, this is what I have. Also check out the weblink given below. This is the recital of the same by Lata Mangeshkar.

    Hussain jab ke chaley baad’e do_pahar runn ko
    Na tha koi ke jo thaamey rakaab’e tausan ko
    Sakeena jhaarh rahi theen aba ke daaman ko
    Hussain chupkey kharey they jhukaaey gardan ko

    Like

  43. mashaallah :khuda bande alam apko is nek kam ka azar zaroor
    dega or dua karta hu ki is nek kaam me shamil hue har shaks ke sir pe maula ka saya rahe .yazeed peer lanat

    Like

  44. bhai janmir aness aur mirza daber nay mola k liye aik mursia likha tha aur imam k rozy main rakha tha k kis nay ziyada acha klam likha hay ager woh dono klam mil jain to aap ki mehrbani ho gi

    Like

  45. Janab Meer Anis was really a noble soul and by writing his work in english you have enlightened his name those who do not been able to read urdu can read it in english. May Husain a.s. give ajr to you as well as meer sahab’s soul,
    Ya Husain

    Like

  46. As Salaam alaikum, Abdi Sahab,
    I had seen the very great effort of yours.
    May Allah (s.w.t.) reward you for doing this good deeds.
    I will be very greatful if you pass on to me the following very old Nauhas, if you have in your Anmol treassure.
    1) (Kehte the Shahe Khuda, Bhai mere mar gaya,
    Ab nahin koi mera, bhai mera mar gaya
    Aaaye nana nabi, aaaye baba ali – 2
    Dekheye aakar zara, Bhai mera mar gaya)

    2) (Aashor ka suraj, jalta hai -2
    har aas ka zarra, jalta hai
    Jalti hai zameen-e-karbobala – 2
    Har harsh-e-muhallah, jalta hai)

    Also I will be very greatful to any of you, who have these very old Nauha. Kindly pass it on to me at:
    tanveer_ali_in@yahoo.com

    And please keep on doing good deeds.
    Khuda Hafiz to all.

    Tanveer Ali Haidery

    Like

  47. mashaallah :khuda bande alam apko is nek kam ka azar zaroor
    dega or dua karta hu ki is nek kaam me shamil hue har shaks ke sir pe maula ka saya rahe .yazeed peer lanat

    bhai janmir aness aur mirza daber nay mola k liye aik mursia likha tha aur imam k rozy main rakha tha k kis nay ziyada acha klam likha hay ager woh dono klam mil jain to aap ki mehrbani ho gi

    ali waris

    Like

  48. SALAMWALEKUM,
    MIR ANEES IS THE GREATEST POET.OTHERWISE WHO WOULD TELL US WHAT IS HAPPENING INSIDE IMAM HUSSAIN CAMP.WHO WOULD TELL US WHAT JANAB-E-ZAINAB SAID TO IMAM HUSSAIN,AND TO JANAB-E-ALI AKBAR AND AOUN O MOHAMMAD.MIR ANEES HAS DONE A REMARKABLE WORK IN THE HISTORY OF ISLAM.EACH SENTENCE IS SO DEEP THAT IT TOUCHES HEART OF HUSSAINI PEOPLE

    Like

  49. I ALSO WANT TO ASK THAT THIS NOHA”ZAHKMI HAI BHAUT GESUON WALA NA UTHEGA SOYA HAI KABHI RAJ DULARA NA UTHEGA”BELONGS TO MIR ANEES IF IT IS THEN PLEASE SENT ME THIS NOHA.

    Like

  50. I need help…………
    Can anybody tell me where can I found the all marsiyah and nahuas by mir anees……………..
    I want mp3 or video of his nahua or marsiyah
    plese

    Like

    1. Dear Mohsin Sahib
      As Salam Alaikum….. If you want Marsiya Mir Anis , i can arrange some for you.which i have recorded from different Majalis in Karachi. If you want all Marasi Mir Anis, I can send you through DHLIt is in 4/5 valumes.

      Like

  51. Janab Mohsin ,As Salam Alaikum, aapki is site se mere Aqeede mein aur bhi izafa hua hai, Allah aap par rahmat farmaye……..Aaameeen

    Like

  52. hussain jab ke chaley bade dopaher run ko.. marsiye ka matla kya hay.
    ANS. I WILL TELL U SOON INSHALLAH.
    THX U MIRZA SHABI ABBAS

    Like

  53. mashallah lucknow ki sarzami pe itni buland hastio ki wajah se lucknow ka moharram tammam mulko se afzal hai.mir anees sahab ke marsio ne karbala k manzo ko taaza kar dia.allah unki rooh ko jannat bakhe.

    Like

  54. Salam,
    If anyone found the following two marsiyas of Mis Anees please mail me their links on “smamz14110@yahoo.com”
    the heading of them is as following;
    1;- Alam me jo the faiz k darya wo khan hen…
    2;- Hamesha gulshan e alam ka ak haal nahi…
    I shall be very thankful to him/her
    SmamZ

    Like

  55. Thanks for sharing excellent informations. Your web-site is very cool. I am impressed by the details that you¡¦ve on this site. It reveals how nicely you perceive this subject. Bookmarked this web page, will come back for more articles. You, my friend, ROCK! I found just the info I already searched everywhere and simply couldn’t come across. What a great web site.

    Like

  56. AS SALAM ALAIKUM, SubhanAllah!you have done a wonderful job by doing this.Jazakala Khair!No words can describe the Marsia of Mir Anees.He was a great Scholar and a Poet..May Allah Bless you!YA ALI Madad!

    Like

  57. al hamdo lilah
    Mir anis sab ka marsiya share kar ne ke liye bahot bahot tahe dil se shukriya allah apki taufikat me aur izafa kare aur maula ka karam aap aur hamre pe kayam rahe.

    Like

  58. Jazak Allah! a very excellent effort to promote Azadari globally.May Allah always bless you and may you always have such oppurtunities to publicize Religion.May Allah will give its reward in the Life Hereafter.

    Like

  59. Ai marsiya nigar tu kahaan pr chala gya,
    zarurat zameen ko hai aasmaan pr chala gya,
    ger aaiyo phir to qalam sath laaiyo,
    karbal ki daastaan ko puri kr ke jaaiyo,
    aansu abhi bahe kahaan samander bahaana hai,
    khud dobege ghame shaah me daher dubaana hai.

    Like

  60. Salam All Hazrat Jo bi ALI K MANANY WALY HAN I am Raja Touseef Abbas From Jauharabad Dist Khushab Punjab Pakistan sy hon Janab All Hazrat sy Request ha k Ho saky to Meer Anis Sb Ki Marsiya Nohy aur jo bi ho saky mujy send kar dain my No 03339824572

    Like

  61. mashaAllah, thanks alot for sharin this beautiful marsiya. May Allah bless you.

    Shakir
    Ad-Dammam KSA

    Like

  62. Allah AP SB KO AJR-E-AZEEM ATA FARMAYE UR BATOOL S.A KI CHADAR KA SAYA HUM SB PR QAIM RAKHY UR MIR ANEES KO JANNAT MA MOLA KY PAHLUN MA JAGA ATA FARMAYEEEE

    Like

  63. Salam,

    You have really done the unique & unforgettable work my friend, late Mir Anis is in our heart, each time we thnk of marsiya we think of MIR ANIS, God Bless you, I request you kindly to send me his marsiya on HAZRATH ALI AKBAR (A.S)
    DASHTE BALA ME GUM ALI AKBAR (A.S) KI LAASH HAI.

    Mir Jaffar Hussain (Ali Madad )
    Melife Alico
    Dubai
    050-6520521
    hyderh@emirates.net.ae

    Like

  64. Jeo Maola (AS) abaad o shaad rakhe
    Teri madad ka faqat ya Ali (AS) bharosa hai
    Kisi ki aas nahi waqt-e-inteqaal mujhe

    Like

  65. Pingback: Jual Ainol Hero
  66. Plzzz upload a poem by meer anees and mirza dabeer (ye khursheed sar e sham kahan jata hai… )
    i am seraching this poem but culdn’t find anywhere

    Like

  67. Hum sab khushi tab milte hai jab hum apne mula se judi baaton ko phadte hai aur sunnte,aur aaj net per ye phad kar mujhe jitne khushi mil mil rahe hai,uska bayan main nahi kar sakta bus shukrguzaap ho is tohfe ka aur allah tala se dua hai ke sare shiya ko salamat rakhe aur,ahlebait tahren ke liye muhabbt paida kare taki hum unke raste par chal amal kar ke unke kurbani ko zaya na jane de,”allah hafiz”

    Like

Leave a comment

Dehlidarvesh

Dastāñ Barresagēr Ki

हमारा जौनपुर

शिराज़ ए हिंद

WordPress.com News

The latest news on WordPress.com and the WordPress community.

यही है वह जगह

काशी विश्वविद्यालय और बनारस पर

Kashifiat's Blog

Observations, Feelings & Emotions

Message of Peace

Peace, Brotherhood and Humanity....