Hadith e Masumeen(a.s) Urdu Roman


H. Ali (AS)

Jo duniya chahta hai usay maut dhunti hai taake usay duniya se nikaal bahar kare. Aur jo aakherat chahta hai usay duniya dhundti hai taake uski rozi oos tak pahu’ncha de.

Source : Tajalliyate Hikmat (Duniya)

 

Rasule Khuda (SAWW)

Jab kabhi koi fakir raat ke waqt darwaze par dastak dekar kuch maange, to kabhi bhi oosay thukrana nahi.

Source : Uddatud Dai

 

I. Sadiq (AS)

Har cheez ki zakaat hai, aur ilm ki zakaat ye hai ke jo mustahak hai unhe taalim di jaye.

Source : Tajalliyate Hikmat (Ilm)

Rasule Khuda (SAWW)

Jo koi Subhanallah kahega Allah uske liye Jannat me har tarah ke fal (fruit) wale 10 darakht lagayega.

Source : Uddatud Dai


Aye wo log jo imaan laye ho, jab juma ke din namaz ke liye pukara jayeto Allah ke zikr ke liye tezi se daudo, aur kharid o farokht band kar do, ke ye tumhare liye ziyada behtar hai, agar tum samjho to.Source : Holy Quran(Sure Juma – 9)

I. Sadiq (AS)

Ek lukma haraam khane ka tark karna (bachna), Allah ko 1000 rakat mustahab namaz se zyada pasand hai.

Rasule Khuda (SAWW)

Ek shakhs ka apni zindagi mein ek chandi ka sikka khairat mein dena maut ke waqt 100 sikke dene se behtar hai.

Source : Uddatud Dai

Rasule Khuda (SAWW)

Jo koi sone se pehle Sure Takaasur (sura no. 102) ki tilawat karega, wokabr ki takleef se mehfooz rahega.

Source : Uddatud Dai

H. Ali (AS)

Char cheez Jannat ki taraf bulati hai: Musibat ko chhupana, chhupakar sadqa dena, waledain se neki, aur bahut zyada ‘La elaha Illallah’ kehna.

Source : Tajalliyate Hikmat 

Rasule Khuda (SAWW)

Allah ke 99 naam hai, jo koi usay in namo’n se pukarega uski Dua mustajab hogi aur jo koi inhe yaad karega wo Jannat me daakhil hoga.

Source : Uddatud Dai

Rasule Khuda (SAWW)

Source : Uddatud Dai

I. Sadiq (AS)

Jo koi subah ko 4 baar ‘Alhamdo Lillahe Rabbil Aalamin’ kahe to usne us din ke liye Allah ka shukr adaa kiya, aur agar shaam me kahe to us raat ke liye shukr adaa kiya.

Source : Uddatud Dai (Hadees 3)

H. Ali (AS)

Jo koi raat ko sone se pehle 3 baar Sure Ikhlaas (Qulho Wallaho Ahad) padhe, to Allah 50000 farishte bhejega jo us raat uski hifaazat karege.

Source : Uddatud Dai

Rasule Khuda (SAWW)

Jo koi kabrastan me daakhil hokar Sure Yasin padhta hai, Allah wahan k sab marhumin par us din azaab kam karta hai, aur us shaks k liye wahandafan marhumin ki ginti k barabar hasnaat likhe jayege.

Source : Uddatud Dai (Hadees 375)

I. Sadiq (AS)

Wo ghar jahan music bajta hai wo haadso’n se mehfooz nahi hai. Aisi jagah Dua qabul nahi hoti. Farishte aisi jagah daakhil nahi hote.

Source : Greater Sins 2 (Singing – 5)

I. Sadiq (AS)

Be shak, jab koi shakhs jhoot bolta hai to usay Namaz-e-Shab padhne ka mauka nah milta. Aur jab usay ye mauka nahi milta, to uski rozi me izaafa nahi hota.

Source : Source : Greater Sins 2 (Lying – 30)

I. Sadiq (AS)

Ek dirham haraam paise ka tark karna, Allah ke nazdeek 70 qabool-shuda Hajj ke barabar hai.

Source : Greater Sins 1 (Taqwa – 2)

H. Ali (AS)

Logon ke darmiyan aise raho ke agar aap mar jaate ho to wo aap par roye aur agar aap zinda ho to wo aap ke saath ke liye tarse.

Source : Nahjul Balagah (Saying 9)

Rasule Khuda (SAWW)

Jo shakhs is duniya me bade maze ke saath behuda baatein aur gaali galoch karta hai, jahannum mein uske mooh se puss aur khoon bahega.

Source : Greater Sins 1 (Qazaf)

H. Ali (AS)

Sab se bada aib ye hai k tum un baton ko doosro’n k liye aib qaraar do jo tum mein khud maujood ho.

Source : Tajalliyate Hikmat (Aib-1)

Rasule Khuda (SAWW)

Agar aap MUSTAHAB namaz padh rahe ho aur agar aap ke waalid (baap) aap ko bulate hai to namaz mat todo; magar aap ki MAA agar bulati hai to namaz tod do.

Source : Greater Sins 1 (Aaq-e-Waledain)

Rasule Khuda (SAWW)

Wo jo kisi jaadugar, ojha, kaazib ke paas jaata hai aur uske kahe ko sach qaraar deta hai, wo Allah ki sab kitabo’n ki nazar me KAAFIR ho gaya.

Source : Greater Sins 2 (Sorcery)

H. Ali (AS)

Neend kitni buri cheez hai jo qaleel (Chhoti) umr ko kam kar deti hai aur aur kaseer (zyada) ajr o sawab ko khatm kar deti hai.

Source : Tajalliyate Hikmat (Neend)

H. Ali (AS)

Jisne tabeeb (doctor) se apni bimari chhupayi, usne apne jism ke saath khayant ki.

Source : Tajalliyate Hikmat (Bimari)

H. Ali (AS)

Agar namaz padhnewale ko ilm ho jaye ke kaisi rehmato’n ne usay gher rakkha hai to wo kabhi sajde se sar na uthaye.

Source : Tajalliyate Hikmat (Namaz)

H. Ali (AS)

Tumhare nafso’n ki JANNAT ke siwa koi aur qeemat nahi, lihaza is ko Jannat ke alawa kisi aur cheez ke badle me (hargiz) na becho.

Source : Tajalliyate Hikmat (Jannat)

H. Ali (AS)

(ILAHI) mai ne teri ibadat na tere Jahannum ke khauf se ki hai aur na teri Jannat ki laalach me, balke maine tujhe ibadat ke layak paya is liye teri ibadaat ki.

Source : Tajalliyate Hikmat (Ibadat)

Holy Quran

Momeneen to apas me bhai bhai haito apne do bhaiyo’n me samjhota kara diya karo & Allah se darte raho taaki tum par rahem kiya jaaye.

Source : Holy Quran (Sure Hujraat – 10)

H. Ali (AS)

Bad’tareen takabbur / ghamand insaan ka apne rishtedaro’n aur apne hi jaise logo’n se takabbur karna.

Source : Tajalliyate Hikmat (Taqabbur)

I. Sadiq (AS)

Har wo muslim jo kisi marhoom ki taraf se amal-e-khair karta hai to Allah usko uska dugna sila dega & marhoom ko bhi iska sawab milega.

Source : Uddatud Dai

I. Sajjad (AS)

Ta’jjub hai! Log bimari ke khauf se khana chhod dete hain magar azaab kekhauf se gunaah se nahi bachte.

Source : Tanzeemul Makatib (Dec-04)

I. Md. Taqi (AS)

Allah par bharosa har bulandi tak pahunchne ka zariya hai.

Source : Tanzeemul Makatib (Dec-04)

I. Md. Taqi (AS)

Faith in Allah is the path to all kinds of greatness.

Source : Tanzeemul Makatib

Holy Quran

Yaqeenan, jo log paak-daman, be-khabar, momena aurto’n par gande ilazaam lagate hai, un par dunia & akherat me Allah ki la’nat hai & badasakht azaab hoga.

Source : Holy Quran (Sure Noor (24-23)

H. Ali (AS)

Jo shakhs ek maaldar aadmi ke paas agar sirf uski daulat ki wajah se jaata hai aur uski izzat karta hai, to who apna do-tihaai (two-third) mazhab kho deta hai.

Source : Islamic Morals (13-Greed & its harms)

H. Ali (AS)

Ai logo’n! Jab kabhi tum kuch sikho to us par amal karo, taaki tumhe hidaayat haasil ho.

Source : Islamic Morals (2- Rebuke for those..)

Rasule Khuda (SAWW)

Kisi shaadi-shuda ki 2-rakat namaz, ek gair shaadi-shuda ki raat bhar ki ibaadat aur 1 din ke roze se behtar hai.

Source : shiarightpath.quran (24:32)

Holy Quran

Aye Imaan walo’n! Mushrekeen to yaqeenan najis hai…

Source : Holy Quran (Sure Tauba – 9:28)

Rasule Khuda (SAWW)

Wo muslim jo haisiyat ke bawajood, qarz chukane me DERI karta hai, usne tamaam muslimo’n par ZULM kiya.

Source : Greater Sins II

H. Ali (AS)

Jo duniya ki khidmat karta hai duniya usay apna khadim bana leti hai & jo Allah Ta’la ki khidmat karta hai, duniya uski khadim ho jati hai.

Source : Tajalliyate Hikmat (Duniya)

H. Ali (AS)

Moazzin ki (azaan ki) awaaz par (namaz ke liye) daud padne se rozi badhti hai.

Source : Tanzeemul Makatib (Dec-04)

Rasule Khuda (SAWW)

Jo shakhs apne kaam se is liye palat aaye ke raaste me bad-shaguni ho gayi hai, to usne shirk kiya hai.

Source : Tanzeemul Makatib 

H. Ali (AS)

Bila shubaa, aaj amal hai hisaab nahi aur kal hisab hoga amal nahi.

Source : Tajalliyate Hikmat (Amal)

Rasule Khuda (SAWW)

Apni namaz ke baad 30 baar kaho: Subhanallahi Walhamdulillahi Wa Laailaaha Illallahu Wallahu Akbar…ye alfaaz aadmi ko dukh se, deewar ke girne se, aag se, paani me doobne se, junglee janwar ke humle se, kharab maut se aur din me aasman se naazil honewali balaa se mehfooz rakhte hai.

Source : Uddatud Dai

H. Ali (AS)

Amal bagair kisi riyaa kari ya dikhawe ke anjaam do, kyunki jo Allah ke ilawa kisi aur ke liye amal karta hai, to Allah usay oosi ke sahare chhod deta hai.

Source : Tajalliyate Hikmat (Riyaakari)

I. Baqir (AS)

Agar koi shakhs kuch haasil karne ya dunyavi kaam pura karne k liye Haj ko taalta hai to wo dekhega ke log Haj ko jaakar laut aaye magar na to uska maqsad haasil hua aur na kaam pura hua.

Source : Greater Sins III

H. Ali (AS)

Sabse badaa gunaah wo hai jiska karnewala oose chhota samjhe.

Source : Greater Sins III

Holy Quran

Aye aulade Adam! Har namaz ke waqt bun-sawar ke nikhar kar jaaya karo, aur khao aur piyo, aur fizul kharchi mat karo (kyunki) Allah fizul kharch karne walo ko dost nahi rakhta.

Source : Holy Quran (Sure A’araaf A – 31)

H. Ali (AS)

Jiski tamannaei’n zyada hogi, uska amal kharab ho jaayega.

Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 22)

H. Ali (AS)

Jis se tum ne apni haajat bayaan kar di, uske saamne tum be-izzat ho gaye.

Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 53)

H. Ali (AS)

Aye gunah par gunah kiye jaane wale! Tera baap (Janabe Adam) sirf ek gunah ki wajah se jannat se nikal diya gaya tha.

Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 88)

H. Ali (AS)

Usay apna koi raaz na batao jiska koi raaz tumhare paas na ho.

Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 104)

I. Sajjad (AS)

 

Sabr imaan ke liya aisa hai jaise jism ke liye sir, jiske paas sabr nahi hai uske paas imaan nahi hai.

I. Reza (AS)

Jiske liye roze Aashura ek musibat, girya aur buka ka din hai, Allah – Azz wa Jall – roze Qayamat ko uske liye khushi aur rahat ka din banaega.

Source : Al-Islam.org (Azadari 40-Hadith)

I. Sadiq (AS)

Jo humpur huwe zulm pe gumzada hai, uski har saans Tasbeeh hai, aur uska maatam Ibaadat hai. (Amaali pg 338)

Source : Al-Islam.org (Azadari 40-Hadith)

I. Reza (AS)

Agar tum I. Husain (AS) pe itna roye ke tumhare gaal par se aansoo bahe, to Allah tumse huwe sab gunaah maaf karega, chaahe wo chhote ho ya bade, kam ho ya zyada.

Source : Al-Islam.org (Azadari 40-Hadith)

I. Reza (AS)

Agar tum chaahte ho ke hamare saath Jannat ke aala maqaam me raho, to hamare gum me gumgeen raho aur hamari khushi me khush raho. (W..)

Source : Al-Islam.org (Azadari 40-Hadith)

Rasule Khuda (SAWW)

Ai Fatima (SA): Roze Qayamat tum aurto’n ki shafa’at karna aur main mardo’n ki aur har azadar-e-Husain ko hum haath pakadkar Jannat me le jaayenge.

Source : Al-Islam.org (Azadari 40-Hadith)

I. Reza (AS)

Jo roze Ashura apni (dunyavi) haajat talab karne se parhez karta hai, to Allah uski dunyavi aur aakherat ki haajat poori karta hai. (Wasail v 14, p 504)

Source : Al-Islam.org (Azadari 40-Hadith)

Rasule Khuda (SAWW)

“Aye Fatima! Roze Qayamat har aankh royegi siwa uske jo Husain (AS) ke gum me royi ho. Yaqeenan, wo aankh muskurayegi & usay Jannat ki nemato’n ki basharat di jayegi.”

Source : Al-Islam.org (Azadari 40-Hadith

I. Sadiq (AS)

Aisa koi nahi hai jo I. Husain (AS) k ash’aar padhe, roye & dusro’n ko rulaye, magar siwa Allah uspar Jannat wajib kare aur gunaah maaf kare.

Source : Al-Islam.org (Azadari 40-Hadith)

I. Husain (AS) ki shahadat ke din aasman se KHOON KI BAARISH huwi thi.
(Thakhaa’er al-Uqba p. 144, 145, 150; Al Sawaaeqh al Muhriqah p 116, 192)
Both non-shia books

San 685 mein (jab Husain AS shaheed huwe) Britain me KHOON KI BAARISH huwi aur doodh & maska KHOON me tabdeel ho gaye. (Anglo-Saxon Chronicle)

I. Reza (AS)

Beshaq, shahdate Husain (AS) ki hararat momeneen k dilo’n me hogi, jo kabhi bhi kam nahi hogi. (Mustadrak Wasa’il v 10, p 318)

 

 

H. Nuh (AS) ka asli naam Abdul Gaffar tha.(Allah ki khushi haasil karne wo 1000 saal roye). Is liye unko NUH bulaya gaya. NUH yaani chillake rona.

Source : (Al Sawi al Jalalayn v 2 p 132 Egypt)

Rasule Khuda (SAWW)

Jo shakhs mere farzand Husain AS par Ashoor k din royega, Khuda usko qayamat ke din nabiyo k saath Jannat me daakhil karega.

Source : Tanzeemul Makatib

Mafatihul Jinan

Shabe Ashur @ 4 rakaat namaz padhe. HAR rakat me S. Hamd ke baad A. Kursi, S. Ikhlaas, S. Falaq, S. Naas (sab 10 martaba). Baad Salaam 100 martaba S. Ikhlaas padhe.

Source : Almanac

Mafatihul Jinan

Shabe Ashur @ 1) Ziyada Salawat padhe. 2) La’an padhe Allahummal an qatalatal Husain AS 3) Ziyarate Imam Husain AS padhe 4) Namaze Tahajjud Padhe.

Source : Almanac (Muharram)

Mafatihul Jinan

Roze Ashur: Amale Ashura kare. La’an bheje: Allahummal’an qatalatal Husain wa Auladehi wa Ashabeehi & kahe – Yaa laytani kunto ma’akum fa afooza fawzan azeema.

Source : Almanac (Muharram)

I. Sajjad (AS)

Har baat me jooth bolne se parhez karo chhota ya bada, sanjidgi me ya mazaak me. Kyunki agar koi mamuli bato’n me jhoot bolne lagta hai to jald hi uski jur’at badh jaati hai aur wo phir ahem bato me (bhi) jhoot bolne lagta hai.

Source : Jadeed Fiqhi Masael (Ayatullah Seestani)

I .Reza (AS)

Sadqa dene se YAQEENI (mukarrar ki huwi) aafat tal jaati hai. Sadqa dena sabse qimati bachat hai.

Source : Wasiyyatnama (Ayatullah Mamkani)

Rasule Khuda (SAWW)

Jab tak momin 5 waqt ki namaz ko pabandi e waqt se padhta hai to shaitan us say khauf-zada rehta hai. (Wasael us Shia)

Source : Jadeed Fiqhi Masael (Ayatullah Seestani)

Rasule Khuda (SAWW)

Roze qayamat Khuda k nazdeek sabse azeem manzilat us shakhs ki hogi jo rooye zameen par logo’n ko sabse ziyada nasihat karta raha hai.

Source : Wasiyyatnama (Ayatullah Mamkani)

H. Ali (AS)

Agar Allah ke siwa aur bhi koi khuda hota, to us khuda ke bhi paigamber aur rasool hote.

Source : Wasiyyatnama (Ayatullah Mamkani)

Rasule Khuda (SAWW)

Jawani ko budhape se pehle, sahet ko bimari se pehle, fursat ko masrufiat se pehle, taakat ko kamzori se pehle & zindagi ko maut se pehle GANIMAT samjho (aur uska faydaa uthao)

Source : Wasiyyatnama (Ayatullah Mamkani)

Rasule Khuda (SAWW)

Jo muslim subh sadiq se suraj nikalne tak apne musalle par baitha rehta hai (Ibaadat & Tilawat karta hai) Allah ose jahannam ki aag se bachaega.

Source : Children’s Guide to Islam

Rasule Khuda (SAWW)

Muslim wo hai ke jiske haath aur zabaan se musalman salamat hai.

Source : Children’s Guide to Islam

Rasule Khuda (SAWW)

Jiske dil me zarra baraabar bhi takabbur hoga, wo Jannat me daakhil nahi hoga.

Source : Children’s Guide to Islam

H. Ali (AS)

Kisi k gunaah beparda karne me jaldi na karo kyu k wo maaf ho sakte hai, & apne 1 chhote gunaah se bhi khud ko mehfuz na samjo kyu k tumhe iski sazaa ho sakti hai.

Source : Tajalliyate Hikmat (Gunaah)

H. Ali (AS)

Jab Allah kisi bande ko zaleel karna chaahta hai to ilm ka darwaza uske liye band kar deta hai.

Source : Tajalliyate Hikmat (Ilm)

H. Ali (AS)

Haq se badhkar taarif karna CHAAPLUSI hai; aur haq se kam taarif karna ya to bolne ki kamzori hai ya phir HASAD (jealousy) hai.

Source : Tajalliyate Hikmat (Taarif)

H. Ali (AS)

Tumhare 3 dost hai & 3 dushman. Tumhare dost = tumhara dost, dost ka dost, dushman ka dushman. Tumhare dushman = tumhara dushman, dost ka dushman, dushman ka dost.

Source : Tajalliyate Hikmat (Dost)

H. Ali (AS)

Aalim jaahil ko samajh sakta hai kyun k wo pehle kabhi jaahil tha. Jaahil aalim ko nahi samajh sakta kyun k wo pehle kabhi aalim na tha.

Source : Tajalliyate Hikmat (Ilm)

H. Ali (AS)

FITNO’N aur BIDA’TO’N ki alaamatei’n (nishani) NA BANO balke ehle jamaat ne jo kuchh tai kiya hai OOSI KE paaband raho.

Source : Tajalliyate Hikmat (Giroh, Jamaat Pg 107)

H. Ali (AS)

Sabse badtareen dost wo hai jiske liye rasmo-riit (formality) nibhani padti hai.

Source : Nahjul Balagah

“Rabbana Taqabbal Minna Innaka Antas Samee’ul ‘Aleem”

“Our Lord! Accept (this service) from us: For Thou art the All-Hearing, the All-knowing.”
(Holy Quran Chapter 2: Verse 127)

 

source 

Published by S.M.Masum

Retired Banker, India

19 thoughts on “Hadith e Masumeen(a.s) Urdu Roman

  1. Salamun Alaikum,
    Bhai please send me Hadith e Masumeen(a.s) Urdu Roman on my yahoo id, Please send me how much is possible, TAKE CARE.

    Like

  2. asslaamulaykum….subhan allah har hadees par …Allah hum sari mussalman ko sarri hadees par amal karni gi toufiq di ..Ameen.

    Like

  3. Aslamu Alaikum
    mein is Hadith e Masumeen(a.s) Urdu Roman bahut khush hu
    Kyunke me is Hadith e Masumeen(a.s) Urdu Roman se mein Apne Friends ku Daily sms kartu is se mere Friends ku bhi malumat hujati he

    SHUKRIYA

    KHUDA HAFIZ

    GHASURA MUBARIZ KHAN PALANPUR GUJARAT

    Like

  4. assalam allikum
    Janab, mubariz khan saheb, allah aap ki umr daraz karen
    aap ne allah rasull ;sll; aur unki aal,maa baap ke hukhuq
    sare hadees pad kar amal karne wala zindagi me kabhi
    dhoka nahi khaa sakta allah hum sab ko amal ki taufiq ata farmaye ameen, syed mukhtar ahmed
    DOHA QATAR

    Like

  5. Salamun Alaikum,
    Keep it up .you r doing very good work. may almighty bless you every moment of life.
    Send hadis on my mail id.
    K/h

    Like

  6. Asslamalikum Bhai, Mashallah jisne b yeh Ahadees ki shuruwath ki hai allah une jannat me ala maqam ata farmaye. Meri guzarish yeh hai ke agar aap yeh mubarak hadees mere email id pe sent kare mai apne apko khush naseeb samjuga…….Jazakallah khair

    Like

  7. bhai saab hum koo bhe nahi bholna email hum koo bhe ker na

    allha aap koo dunya aur akherath mey kameyaab kare aur hum sebkoo

    Like

  8. salam,,,,janab main ny yh sare hadees sy pari mujhay both acha laga main aur jankare hasil karna chata hu…aur main ap ka both he asain mand hu jo ap k wajh sy main yh sare hadeesy padh sakh..

    Like

Leave a comment

Dehlidarvesh

Dastāñ Barresagēr Ki

हमारा जौनपुर

शिराज़ ए हिंद

WordPress.com News

The latest news on WordPress.com and the WordPress community.

यही है वह जगह

काशी विश्वविद्यालय और बनारस पर

Kashifiat's Blog

Observations, Feelings & Emotions

Message of Peace

Peace, Brotherhood and Humanity....