Moula Ali Ki Shan Main Likhne Walo collection


As-Salam-o-Alaikum
Dear members Wiladat e maula Mushkil kusha Ali(a.s) kae mauqae pae aaj dil chaha ki apnae hee alag alag groups aur forums main bejae gayae muhabbat e maula Ali(a.s) main hamarae members nae waqtan bewaqtan kush ashaar bejae hain, Aaaj un sabhee ko collect ker kae bhej reha hoon yaqeenan aap bhee lutf uthaeingae aur sawaab paeingae.

“Moula Ali Ki Shan Main Likhne Walo
Apne Her Lafaz Ko Anmol Samjhoo
Ataa Hoti Hai Yeh Dar_E_Zehra Se
Apni Her Tehreer Ko Maqbool Samjhoo”
Iltemme e dua
Syed Mohammad Masoom Abidi

———————-

jo jaanta hi nahin ishq e MURTAZA ki hai
phir aisay shaks ke jeenay se faida kia hai

jisay nabi ne pukara tha apni mushkil mein
usay jo hum, bhi pukaaray to phir bura kia hai

zuban e meesam e tammar hi bataye gi
sharaab e midhat e haider ka zaaiqa kia hai

kaha khuda ne namazo ki baat jab aayee
baghair ishq e ALI ho to faida kia hai

meri lahad peh ALI se kaha farishton ne
yeh aap ka hai to phir is se poochna kia hai

——————————————-

Hay shauq dil meiN manqabat- e Bu-Turab ka
Alfaaz magar rakhtay nahi quwwat-e-wafa
Taab-e- ramak-e Ilm-e- Ali(as) rakhtay nahi haiN
Seena hua hai shaq tabhi har aik chah ka

munkir e haider ko tab tak maza aata nahin
jab talak mein na karloon khul ke maula ki sana
jab talak keh who maar tehzeeb ki khaata nahin
bazm e maula mein mujhay lutf e sukhn aata nahin

zaib deta hai zaat e yazdaan ko faqat
keh dia haq ne ALI hain mohtram baad e nabi
ehl e nakhwat ki samajh mein yeh magar aata nahin
feham mein teray magar yeh qaul e haq aata nahin

batan e maadar mein bhi thay mushkil kusha meray imam
haq ka ho dastoor jis ki mominiyat ka chashm
martaba likin yeh kisi “haasid” ko bhaata nahin
jaabiro se maat kabhi who momin khaata nahin

jis ka haider naam ho,who naam rakhnay se faqat
sath haider ke ho haideriat bhi to phir
aik saraapa haideri saanchay mein dhal jaata nahin
who kisi marhab ,kisi antar se ghabrata nahin

ibne muljim saamnay aakar kahin karta jo waar
inkisaari mein hain panhaan kamrani ke romoz
khud moarrikh bhi yeh kehta hai sambhal pata nahin
dhiyaan se yeh meray farmaan e ALI jaata nahin

shahaan e jahan sab hain gada e haider
hai abr e karam dast e sakhaaye haider
yaqoob o khalel o yusaf o adam o nooh
sab ki mushkil mein kaam aaye haider

Yeh joodo sakha haatim e taaye mein nahin
misl in ke koi uqda kushai mein nahin
maabood ke hain abd, nuseri ke khuda
banda koi haider sa khudai meain nahin

ALI ki manzilat kuch poochiyein salman o bozar se
Ali ko pehchana,to in dono ne pehchana
ALI ki dosti aur dushmani mein farq hai itna
Who dozakh ki sanad hai,aur yeh jannat ka parwaana

Aalam e islam mein kaaba hi qibla hi faqat
Aur is ghar mein ALI,molood e kaba hai faqat
Jo mila hai Allah k ghar se who aala hai faqat
Who nabi k baad momin ka sahaara hai faqat
Azmat ibne abu talib ko samjhay to jahan
Hon khuda k ghar mein paida aik ishaaara hai faqat
Aasmaan se jab chala anjum to is ko tha yaqeen
Dar e ALI ka qaabil e taazeem o sijda hai faqat
Jang e khandaq ho,ya Khyber,ya keh ho jang e badar
Saaray gazwon mein ALI ka naam aula hai faqat
Senkrron maaray gaye haider k haathon se magar
Hum wazan do lakht marhab ka janaza hai faqat
Who ALI jo hai wali bhi aur wasiye Mustafa
Is ko hi mushkil kusha keh kar pukaara hai faqat

ALI KI BAZM KA KUCH AISE AETEMAM KARE
FARISHTE AAKE ZAMIN PAR HAME SALAM KARE
YEH AARZU HAI KI YU ZINDAGI TAMAM KARE
NAJAF ME SUBAH KARE KARBALA ME SHAAM KARE.

ALI ALI NAZAR AAE JIDHAR JIDHAR DEKHA
ALI KA NOOR EK SHA-E-ME JALWAGAR DEKHA
ALI KO HAQ NE UTARA AIN KAABE ME
KHULI JO AANKH TO PEHLE KHUDA KA GHAR DEKHA.

————————————————–

yay sochna hee abas hae kahaN kahaN hae ALI
jahaN jahaN hae haqeeqat wahaN wahaN hae ALI
idher hae zaat-e- khuda,udher hae zaat-e-muhammad
inhee lateef hijabouN kay darmiyaaN hae ALI..

Kia khaak who darray gay lehad ke azaab se
Mansoob hai jo khaak e dar e boo turab se
Mushkil kusha hain paas farishto adab karo
Mushkil mein daal doon ga sawaal o jawab se
Khyber mein dekhna,yeh hai jibrael ya ajal?
Lipta hua hai kon ALI ki rikaab se
Jo “YA ALI MADADâ€‌ ko gunah keh ke charrh gaye
Who bekhabar hai meray gunnah k sawaab se
Pehlay yeh zid thi khuwab mein dekhay gay hum khuld ko
Ab zid hai keh khuld mein jaagain gai khuwab se
Mohsin..bahisht MOLA ALI ki wila se hai
Mein ne yehi parha hai khuda ki kitaab mein

Uroose azm ki zeenat sana e haider hai
Bayan ka husne latafat sana e haider hai
Gul e riaz fasahat sana e haider hai
Khuda ki ain ibadat sana e haider hai
Jo haq shanaas hain un ko sana yeh bhaati hai
Yehi sana to bahisht e bareen dikhati hai

Tatheer keh rahin hai taharat ALI ki hai
Afzal kahein jisay,who ibaadat ALI ki hai
Insaaf ki sada hai,adaalat ALI kihai
Arzo sama ALI ke hain,jannat ALI ki hai
Kaabay mein khaas jaaye wiladat ALI ki hai
Masjid mein jo hui who shahadat ALI ki hai

Naad e Ali ka wird jo karte chali gaye
umr e rawan sakoon say guzarte chali gaye

deewana waar loug bhi martay chalay gaye
taigh e Ali jidher say guzarte chali gaye

Aik rooz ye manzar badlega, aik din ye chaman lehrayega
gulshan me chalegi aysi hawa, ye dour-e-khaza mit jayega
ye dharti sona uglegi, ye chargh gohr barsayega
aik din ye nizam-e-zulm wo sitam, qud zaalim ko rulwayega

qanjar ka kaleja kanpega, talwaar ka sar jhuk jayega
sab thaat pada rehjayega, jab aane wala aayega

Hai azme Khalili sinoan me, sholoan me phool khila denge
Hathoan me nihan hai zoore Ali, Khaiber ka saman dikhla denge
Abbas-e-dilawar ke waris, har ek ki pyas bhuja denge
Ye nasl wa mulk wa rango watan, ki sab diware gira denge

Is waqat fiza-e-alam me, bas ek Alam lehraega
sab thaat pada rehjayega, jab aane wala aayega

ya Ali tera haseen naam bhala lagta hai ,
aur teri nisbat say yeh islam bhala lagta hai,
laug kehte hain tere ishq mein kafir mujh ko ,
aur mere dil ko ye ilzam bhala lagta hai!!
———————————————

SAFAR TAVEEL HAI , UMRE DARAZ CHOTI HAI
ALI KA ZIKR BAHOT HAI , HAYAT CHOTI HAI
ALI KO KAISE MAIN MAULA E KAYNAAT KAHU
BADA HAI NAAM E ALI , KAYNAAT CHOTI HAI

ALI FUROO BHI HAI , ALI USOOL BHI
ALI MAULAE KAYNAAT , SHOHRE BATOOL BHI HAI
YA ALI KEHNA AGAR HAI HARAAM (MAZALLAH)
TO IS GUNAH ME SHAMIL MERA RASOOL BHI !!

————————————————-
chamakta hai kahan aflaak peh mehr e jabeen aisa
kahan hoga wilayat ki anghooti mein nageen aisa
khuda mehfooz rakhein chashme bad se husn e haider ko
barri mushkil se paya hai nabi ne jaanasheen aisa
———————————————–

ahl-e- qirat ki aankh ka taara hae YA ALI
aur mo’minooN k dil ka sahara hae YA ALI
meri tamam mushkilain aasaan ho gayeN
mushkil mae maeinay jab bhee pukaraa hae YA ALI

————————————————
Bhaetek rehay ho to raah-e-thawaaaab bhee dhoondhoo
andherey hayn to koi aftaab bhee dhoondho
banay ho matttiii saay mitt jaao gay musalmano
jo bechhna hay to koi Buuturaabbhee dhoondhoo
———————————————–

Bohat kam hai jo khul jaatay hain izhaar-e-dili kar ke
Taassur hi batata hai haqeeqat munjali kar ke
Munaafiq aur momin ki agar pehchan karniho
Faqat chehray ko dekha chahiyyein zikr-e-ali kar ke

Meri majaal hi kia aur kia meri auqaat
Kuja haqeer sa banda kuja imam ki zaat
Karay jo wasf-e-ALI,hai yeh kis ke bas ki baat
Who zaat jama hain jis mein sab anbiya ki safaat

Har aik zarra-e-imkaan ne yun to banaya hai
Bajuz khuda o nabi kis ne un ko jaana hai
——————————————–

Jab se tumhain madad ko pukara hai YA ALI
har moj ki jilao mein kinara hai YA ALI

Behr-e-hayaat,hasrat-e-toofan nikaal dey
berra bhanwar mein keh ke utaara hai YA ALI

us ki nazar mein shaukat-e-taajo sareer kia
jo bhi ghulam dil se tumhara hai YA ALI

bakhshi hai tum ne fikr bashr ko tajalliyaan
tum ne shaoor-e-zeest nikhara hai YA ALI

hai aap hi ka ishq anees-e-game-hayaat
warna hayaat kis ko gawara hai YA ALI..

—————————————–
Kuch aur bhi bawaqaar hojata hai
Madhosh bhi hoshiyaar hojata hai
Jo peeta hai jaam-e-mai-e-hubb-e-ALI ,
Konain ka raazdaar ho jaata hai…

Kabhi ishq o maarifat ke shaaoor tak woh na pohncha
raha zulmaton mein hairaan kabhi noor tak na pohncha
yehi silsila-e-tareeqat hai yehi silsal-e-haqeeqat
jo ALI talak na pohncha,woh huzoor tak na pohncha

tamanna thee k pewand-e-khak-e-karbala hotay

wahan bhi khaak hee hotay magar khaak-e-shifa hotay

chashm-e-imaan mein ,nuseri hain alag,hum hain alag
woh khuda kehtay hain,hum sher-e-khuda kehtay hain

Woh aaftaab-e-fazeelat jisay zawaal nahin
karoon jo wasf to itni meri majaal nahin
tamam aalam-e-insaaniyat mein baad-e-Rasool
Khuda gawah,ALI ki koi misaal nahin..

———————————————
Moula Ali Ki Shan Main Likhne Walo
Apne Her Lafaz Ko Anmol Samjhoo
Ataa Hoti Hai Yeh Dar_E_Zehra Se
Apni Her Tehreer Ko Maqbool Samjhoo
—————————————-
—-

QIRDAR YAKEENAN MASOOM THA TERA ABBAS
UMMUL BANEEN KA LAAL SHERE KHUDA KA SHER HAI TU ABBAS
AB JO FATEMAH NE KEH DIYA TUJHKO APNA BETA ABBAS
TO FAQR SE KEH SAKTE HAM TUJHKO MOHAMMAD KA NAWASA ABBAS.

KAT GAYE HAATH MAGAR SINA SIPAR HAI ABBAS
FAUJE SHABBIR SA FAILA NE NAZAR HAI ABBAS
THARTHARAHAT SI JO DARIYA ME NAZAR AATI HAI
YEH TERE EK TAMACHE KA ASAR HAI ABBAS.

—————————————————

naam-e-abbas waseela hai har dua ke liye
ism e azam hai yeh momin ki iltija ke liyei

mansha e zehra iraada hai ali hukm e jali
saaniy e jaffer e tayyar hai gairat ka wali
khud chuna khaaaliq e akbar ne hai wafa ke liye

koi maanay ya na maanay hai ye eamaan mera
naam e abbas to bakhshish ka hai samaan mera
chashma e faiz hai yeh dar har aik ata ke liyein

baab peh sher e shayadat keh jobhi aaye ga
jo bhi maangay ga qasam haq ki usay mil jaaye ga
nuskha e keemya hai naam peh aik shifa ke liyein

deed karti hoon alam per to saans rukta hai
yaad aajata hai gaazi mujhay yun lagta hai
ab bhi rota hai yeh zainab teri rida ke liyein

With Thanks to our shiastrength and 14 masumeen members.
Syed Mohamad Masoom abidi

Kaaba-Birthplace of the one and only Imam Ali

www.alqaem.org

Published by S.M.Masum

Retired Banker, India

47 thoughts on “Moula Ali Ki Shan Main Likhne Walo collection

  1. Ali Ali kiya kar..
    farighul-baal jiya kar..

    ———————————-

    Ghalib nadeem-e-dosth se ati hay bu-e-dosth..
    Maghul-e-haq hoon bandagi-e-bu turaab main..

    Like

  2. Kya kahoo kis sa kahoo ka mujha ho gaya hai Ishq,
    Par main darta nahi bata na sa ka mujha Ho gaya Hai Ali sa Ishq.

    Like

  3. ALI HAI NAAM LAQAB HAI ABUTURAAB MERA
    HUA HAI AUR NA HOGA KOI JAWAAB MERA
    MAI MASHWARE SE KHALIFA NAHI BANAYA GAYA
    KIYA HAI CHASHME MASHIYAT NE INTEKHAB MARA.

    MAULA SALAMAT RAKHE APKO. MASHAALLAH

    Like

  4. ALI KA ISHQ HAI RUHU BADAN KA UJLA PAN
    TERE SAMAJH MAI SAMAE BHALA YE RAAZ KAHA
    TUJHE ALI SE MOHABBAT NAHI NA KAR SAJDE
    TERA BADAN HI NAJIS HAI TERI NAMAZ KAH

    Like

  5. Jo Janat se nikla woh phool Ali(s.a) hai
    Muhammad (SWA) ne kaha tu Mola Ali hai
    Jo is ka hai munkir woh Rab (ST) ka hai munkir
    Ali ki chokhat pe sare wali hain

    Like

  6. Khebar Ki Jang K Moqa Per Jab Rasool-e-Khuda Nay Mola Ali Ko Madad Ko Pukara to Iss Tarhan Pukara.

    Mushkil Peri jo Sar Pay To Kehney Lagey Nabi(s.a.w.w)
    Mushkil Ko Meri Hall Karo Mushkil Kusha Ali(a.s)

    Iltemass-e-dua

    Syed Kaleem Haider Kazmi
    0314-5151214

    Like

  7. Mushkil Parray jo Sar Pey To Pukaro Ali Ali
    Mushkil Ki Kia Majaal Na Aasaan Dikhaie Day.

    By: Ahsan Imrani

    Iltemass-e-dua

    Syed Kaleem Haider Kazmi
    0314-5151214

    Like

    1. salam abbas bhai mujy Mola Ali A.S ka orignal mundra yahan pakistan say nahi mil raha ap say guzarish hai k agar ap iss silsilay mai agar ap india say koi madad kar dein Mola Ali k naam par tu ap ki mehbani ho gi mera e-mail id hai teh7860@hotmail.com

      Like

  8. YA ALI TERE TAARRUF MEIN KOI KYA BOLE , TERI THOKAR KA ISHARA HO TO MURDA BOLE, MERE MAULA MEIN LIKHU TERI FAZEELAT KAISE………

    ABBAS
    Lucknow India
    00919956070707

    Like

  9. 1.Maaon ko sikha Saani-e-Zahra (a.s.) ka saleeqa
    Behnoo ko Sakina (a.s.) ki duaoon ka asr dey
    Muflis pay lal-o-jawahir ki ho barish
    Maqrooz ka har qarz ada ghaib say karday
    Jo chadar-e-Zainab (a.s.) ki azadaar hain Maula
    Mehfooz rahain aisee khawateen kat parday
    Gham koee na dey hum ko siwa’ay gham-e-Shabbir(a.s.)
    Shabbir (a.s.) ka gham baat raha hai to idhar day

    Like

  10. ab aa gaya wo waqt, k honay ko hai zahoor
    farzand-e-ali ibn-e-abi talib khuda ka hai manshoor

    imam-e-waqt hai, qaim hai, hujat-e-khuda wazay hai
    aqal k seenay pe chamakta aftab wazay hai

    fitnay sy, fassad sy ye insaniat aari hai
    hr zalim k sar pe bss zulfiqar bhari hai

    wo din faqt wilay-e-ali k iqrar ka din hai
    warna tu phir qahar o jabaar ka din hai

    Like

  11. my dear fellow molaie’s
    i am not a qasida nawees, but the grace of all of you and all mighty Allah, after reading the whole page full of beauty full qasidas…at the end my heart wished to add something from my self, i was so inspired by all of ur qasida’s k i prayed to mola k ya ali a.s mery seenay ko bhe appki madda k 2 ashaar aata kr dein..and these 4 ashaar’s quickly came in my mind and i just wrote the…i wanted to discuss this to prove k chashma-e-faiz hussain ibn-e-ali ta waqat e hameesha jri o sari hai..so maada krty rhein aur qasiday sunaty rhein..allah app ko aur app ka ghar walon ko , ehbaab ko hameesha tandrust o salamat rkhay…ameeen
    salawat !!!

    Like

  12. ek sheir sooz ka , janab-e-muslim a.s k phuloon k naam … in ashaar ko sunnanay pr mein nay momineen ko aksar cheekhein maar k rotay deekha hai…ye ashaar apnay app mein qaynat ka wazan rkhty hein..iltimaas-e-dua

    ” dar gaye, sehum gaye, becharay !!
    Ya Ali kehnay pe tamachay maray!!”

    Like

  13. Jibreel Sardar Farishtiya da
    Nai janda Ishq da Raz ke a
    Jithy Ishq nal Insan Ponhche
    othy Aqul di Majal ke a
    Gunj Shakar da Peer Farid Jane
    aida saz ke a te awaz ke a
    Mastane a Sajda Rab noo kare
    Pehle Ali ko Puch le Nimaz ke a

    Like

  14. TERE AZMAT YE ALI(A.S)MAHAR-E-NABOOWAT HAI GAWA
    PAK O TAIR KIA ISNAM SE TO NE KABA
    TERE AZMAT KI KASAM SHER-E-KHUDA SHERE ILAA
    TERE MUNKAR SE NAHI KOI WASTA MERA.
    YA ALI MADAD
    ALI ALI A.S HER DUM .KIA KARO ALI ALI A.S DUM DUM

    Like

  15. HA ALI A.S ,MERA ALI A.S ,TERA ALI A.S,SAB KA ALI A.S.
    WO MUHAMMAD KA WASI HAI,WO HAI ALLAH KA WALLI,
    WO YAD ALLAH K AZAL SE HAI IMAM-E-AZLI,
    WO HAI IOTAR WO DAATA WO HAI BIJRAM BIJLI.

    Like

  16. wo jo girtoon ko tham laite hain
    ham usi ka too nam laite hain
    aap aapno ko dijeye aawaz
    kiyon takalluf se kam laite hain
    (Shayer,Nazeer Banarsi)
    Wasi Jafri Aligarh.+91-9411041231

    Like

  17. hazrat. zaid bin arkam rz. se riwayat hai k RASUL ALLAH S.A.W. ne frmaya jis ka mai moula hu ALI bhi uske moula hai hazrat jabir rz. se riwayat hai k RASUL ALLAH S.A.W. ne farmaya mai hikmat ka ghar hu aur uska darawaza ALI hai 21 Ramzan ko Hazrat. ali rz. ki shadat hui joki hamare sab k Moula hai.

    Like

  18. Mohammad k gharane se wafadari zaroori hy,
    phir un k dushmanon se bhi to bezari zaroori hy,
    tawafe khana e ka,aba se hajj kamil nahi hota,
    waha,n bhi teen shaitanon pe sang bari zaroori hy,

    Like

  19. Li ka martaba, Allah jaane, Mustafa jaane,
    mager jo bhi bashar bu jehl seerat ho woh kya jaane,
    Darata kyun hy aey waa”ez muje kya khof marqad ka,
    lahed jaane, malak jaane, mera mushkil kusha jaane,

    Like

  20. Ek haqeeat bata doon tumhen dosto, ger che main koi mufti ya qazi naheen,
    dozakhi wo bashar hy ba hukme Nabi, Fatima Sayyeda jis se razi naheen,
    mat namaz o aza ka taqabul karo, baat sach hy yahi, maan lo, jaan lo,
    jo namazi na ho wo Hussaini naheen, jo Hussaini na ho woh namazi naheen,

    Like

  21. Ay dushmanay HAIDER daikh zara her simt FIZA may ALI ALI…

    Pyaron k lie pyari pyari GULZAIB hawa may ALI ALI …

    kon ALI !

    Ger ALIF se lo INSAN ALI ..

    BAY se kamil BurhaN ALI …

    PAY se PUKHTA IMAAN ALI …

    TAY se TATHEER ki jaan ALI…

    SAY se SAQLAIN ki shaaan ALI …

    JEEM se PAK JAWAZ ALI …

    MAQDOOR ALI TAQDEER ALI …

    HAY se huq ki TASWEEER ALI ..

    KHAY se KHATMUL KARRAR ALI ….

    or KHALIQ ka SHAHKAR ALI …..

    RAY se REHBER her HAAL ALI ….

    lafzay ZAY se ZAHID bhi ALI …

    BAYBADAL ALI BAQI bhi ALI …

    mera SEEN se hay SAQI bhi ALI ….

    or SHEEN se hay SHAAFI bhi ALI …

    SUAD se SADIQ ZIKR-R-ALI or ZUAD se ZAMIN FIKR-E-ALI …

    TOYAIN se TARFAIN MAY NOOOR-E-ALI ….

    ZOOYAIN se PUR NOOOR ZUHOOR-E-ALI ….

    RUTBA hay KHUDA k WALI KA ALI ….

    or AYN se NAAM ALI bhi ALI ….

    GHAIN se PAK GHANI bhi ALI ….

    or FAY se FAZL-E-RABBI bhi ALI ….

    or KAAF se kaba ALI ALI ….

    mera QAAF se QIBLA ALI ALI ….

    ger LAAM se poocho kya hay ALI

    ….LOLAK ki PAK FIZA HAY ALI ….

    hay MEEM se MAN KUNTO MOLA bhi ALI ….

    hay NOON se NOOR-E-KHUDA bhi ALI ….

    WAO se WAJH-ULL-Allah bhi ALI ….

    sun lo ! AYN-ULL-Allah PEER ALI …IMAN ALI …IKAN ALI …SULTAN ALI …MERI JAAN ALI …

    KONAIN ALI k qudmon may…
    SIBTAIN ALI k qadmon may …
    SAQLAIN ALI k qadmon may …
    TAQDEER ALI k qadmon may ..
    TAUQEER ALI k qadmon may …
    SHABBIR ALI k qadmon may ..

    IZZAT bhi ali k qadmon may …

    AZMAT bhi ALI k qadmon may ..

    PARWAN-E-PUL-E-SIRAT ALI …

    kalyon ki kadak may ALI ALI ..

    phoolon ki MEHAK may ALI ALI …

    TAARON may ALI …. PYARON may ALI …. QURAN taire PAARON may ALI ….

    her MOMIN k naaron may ALI …NOORI bhi ALI …ANWER bhi ALI …

    HAZIR bhi ALI …NAZIR bhi ALI .

    HUSNAIN ka baba ALI ALI …KABAy ka KABA ALI ALI …..

    hay ABR-E-KARAM bhi ALI ALI …AHMED ka bharam bhi ALI ALI …

    REHMAN ki hay saughat ALI …

    BIN BADAL K bursaat ALI …. SHURFA ki JAAAMAAT may ALI ALI …

    her SACHI baat may ALI ALI ….

    HIJRAT ki RAAT may ALI ALI … MAIRAJ ki RAAT may ALI ALI ..

    HUQ GO ka sahara ALI ALI ……………..

    BUKHSA jo RASOOL-E-AKRAM ne dayga woh sayaq-o-sabaq ALI ….

    UNGLI k aik ishaare se KHAYBER ko ura sakta hay ALI ..

    NAGA pay chari hoi bhawaj ko HAIBAT se gira sakta hay ALI …….

    BHATKON ka sahara ALI ALI .. DOOBO to KINARA ALI ALI ..

    NABION ne pukara ALI ALI .. merri aankh ka tara ALI ALI …

    MOLAY-E-QAMBER ALI ALI .. AQAYE ABUZAR ALI ALI …….

    NABION se behtar ALI ALI ….

    WALION se barh ker ALI ALI … hum sub ka rehber ALI ALI …

    hum sub ka AAQA ALI ALI …

    DUM MAST QALANDER ALI ALI .. DUM MAST QALANDER ALI ALI …

    Ay duniya uth kay dekh zara kia naam hay MOLA ALI ALI(A.S) ….

    TU QABAR SE BAHAR JO KAR LE … TERI QABAR KE ANDAR ALI ALI …

    Like

  22. Assalam-u-alaikum.I need a little bit help from you all.Kch elm or jado tona wgaira ma mubtla hn.Kafi jga sa elaj krway but the problem remain same no one can cure me.Ab ksi sa pta chla ha k “Mundra-e-Maula ali” mushkil khusha k parhna sa sb jado wgaira k asrat khtm ho jata haain.Boht dhunda ha pr mjha kahe sa nhe mila.So plz agr ksi bhai k pas ho to wo “angel_adi89@yahoo.com” pa mail kr da taka meri problem hl ho jy. Thnak You so much……..

    Like

  23. ali a.s k naam se sab kuch badal jai ga
    sir pe tohfan bhi hoga to tal jai ga
    ali a.s k naam se jis ko bhi dushmani hogi
    wo samander me bi ho ga to JAL jai ga.

    Like

  24. Jalte ho q ALI k kamalat dekh kar, izzat khuda b deta hai aukat dekhkar, milti jo aise waiso ko hilti na zulfiqar, talwar di hai haq ne magar hath dekh kar…. 08982422772

    Like

  25. Naam Ali a.s leta hoo, her muskil tay kerta hoo, waqt e parashaan hoon magar, Moula ko yaad kerta hoo., moula aap muskhil kusha mushkil kere her asaan, her ghadi her pal yah ali a.s. kehta hoo., sab jante hai yahi baat pehle moula sab baad, koai nahi siwa yah dar yah Ali a.s. kehta hoo.

    Like

  26. BINTE ASAD HAIN GOAD MEIN JISKO LIYE HUWE USKO MAIN KAINAT KA MUAHKIL KUSHA KAHU DAMADE MUSTAFA KAHU KHIABER KUSHA KAHU HAIRA HU BUTORAB TUJE AUR KYA KAHU JISKI RAZA PE CHALTA HO MABOOD KA NIZAM US SHAQS KO KHUDA HI BATAE KE KYA KAHU NASLO KO DEKH KAR JO CHALATA HO ZULFEQAR US HAATH KO KHUDA HI BATAE KE KYA KAHU (SYED AGHA MEHDI)

    Like

  27. Tan pr jo ali (a.s)ali(a.s)ho
    Zuban pr ali(a.s)ali(a.s)
    Mar jau toh kafn py b likhna ali(a.s)
    Bagher hub-e-ali(a.s)mada nhe mil sakta
    Ibadton ka b hr giz sila nhe milta khuda k bando sunu gor sy khuda ke qasm
    Jisy ali(a.s)nhe milta khuda nhe milta

    Like

  28. By using Sociable, you’ll entice your readers to submit your blog entries to Digg as well as to other similar web services. re going to take a step-by-step look at how you can find and automatically install plugins directly from within Word – Press. You can add this free blogging platform to an existing domain as the root address or as a sub domain and there are a lot of good reasons to choose to go this route.

    Like

  29. Zabaan e kaat di jaye nahi koi haraj hamko.
    ata jazba hame ye misam e tammar karta he
    mujhe majbur tu qaidi bana kar ke samjhta he
    peasar uska ho jo majbur ko mokhtar karta he

    iltemas e doa
    contect no.
    00917860715408
    00917783907592

    Like

Leave a comment

Dehlidarvesh

Dastāñ Barresagēr Ki

हमारा जौनपुर

शिराज़ ए हिंद

WordPress.com News

The latest news on WordPress.com and the WordPress community.

यही है वह जगह

काशी विश्वविद्यालय और बनारस पर

Kashifiat's Blog

Observations, Feelings & Emotions

Message of Peace

Peace, Brotherhood and Humanity....