Aane Wala Aayega Pyam Azmi


Aik rooz ye manzar badlega, aik din ye chaman lehrayega
gulshan me chalegi aysi hawa, ye dour-e-khaza mit jayega
ye dharti sona uglegi, ye chargh gohr barsayega
aik din ye nizam-e-zulm wo sitam, qud zaalim ko rulwayega
 
qanjar ka kaleja kanpega, talwaar ka sar jhuk jayega
sab thaat pada rehjayega, jab aane wala aayega
 
 
 
Hai azme Khalili sinoan me, sholoan me phool khila denge
Hathoan me nihan hai zoore Ali, Khaiber ka saman dikhla denge
Abbas-e-dilawar ke waris, har ek ki pyas bhuja denge
Ye nasl wa mulk wa rango watan, ki sab diware gira denge
 
Is waqat fiza-e-alam me, bas ek Alam lehraega

sab thaat pada rehjayega, jab aane wala aayega

 

Published by S.M.Masum

Retired Banker, India

Leave a comment

Dehlidarvesh

Dastāñ Barresagēr Ki

हमारा जौनपुर

शिराज़ ए हिंद

WordPress.com News

The latest news on WordPress.com and the WordPress community.

यही है वह जगह

काशी विश्वविद्यालय और बनारस पर

Kashifiat's Blog

Observations, Feelings & Emotions

Message of Peace

Peace, Brotherhood and Humanity....