IMAN’E ABU TALIB (as)


IMAN’E ABU TALIB (as)


Tamaam olamaaey ahle tash’ea aur kuch olamaaey ahle sunnat
eimaane Abu Talib (as) ke qaael haiN, jabki chAnd olamaaey ahle sunnat
Bukhari wa Muslim ki iss hadees ki bina par eimaane Abu Talib (as) ke
munkir haiN:

AbulYamaan ne Shoaib se, ussne Zohri se, ussne Saeed bin Musayyab se,
aur ussne apne baap se rawaaet ki hai ke, ussne kaha:
” ” Abu Talib (as) ki wafaat ke waqt jab Rasoole Akram (sawaw) unke serhaane
tashreef laaey to aapne Abu Jehl aur Abdullah bin abi Omaiyah bin Mughairah
ko wahaN deikha. Tabb AaNHazrat (sawaw) ne farmaaya: aey chacha! kaho
La Ilaaha Il’Allah – Yeh woh kalema hai jis ke zariye maiN Khuda ke huzoor meiN
aap ke liye hujjat peish kar sakta hooN. Uss par Abu Jehl waghairah ne kaha:
Kya tUm Abdul Muttalib ke mazhab se rugardani kar rahey ho?
Uss waqt Rasool’e Akram (sawaw) baar baar yehi irshaad farma rahe thEy, aur
woh donoN ashkhaas bhi apni baat dohraaey ja rahe thEy. Hatta ke Abu Talib (as)
ne apne aakhri alfaaz kahey: ‘Abdul Muttalib ke mazhab par’. Aur yuuN woh
La Ilaaha Illallah kahne se baaz rahe. TaahUm Rasool’e Akram (sawaw) ne
farmaaya: ‘Khuda ki qasam! jab tak mujhe aapke liye maghferat ki dua maaNgne
se mana nahin kir diya jaaeiga, maiN yeh amal karta rahuNga. Iss asna mein
Khudaaey Ta’ala ne yeh aayat naazil ki:
‘Paighamber (sawaw) aur momeneen ke liye munasib nahiN ke woh mushrekeen ke
liye maghferat ki duaaeiN maaNgeiN.’   ( 9 / 113 )

Phir Abu Talib (as) ke baare meiN bhi yeh aayat naazil hui:
‘ Aey Paighamber (sawaw)! be_shak tum jise cHaaho raahe raast par nahiN laa sakte,
lekin Khuda jise cHaahe raahe raast par la sakta hai ‘   ( 28 / 56 )  ” ”

Iss rawaayat ka waahid raawi – Saeed bin Musayyab – unn ashkhaas mein se hai jo
khullam khulla Imam Ali (as) se apni dushmani ka izhaar karte thEy. Hatta ke Imam
Ali bin Hussain ( Imam Zainal Abedin as ) ke janaaze ke paas se guzar gaya aur
usmeiN shamil na hua.

Bukhari ki hadees se yeh baat zaahir hoti hai ke woh donoN aayaat Abu Talib (as)
ki wafaat ke waqt naazil hui haiN. HaalaaNke yeh pahli aayat Madani hai aur mufasserin
muttafiq hain ke yeh fateh Mecca ke baad naazil hui, yeh surae Tauba mein shamil hai
jo Madani hai, aur Quran Majeed ka aakhri surae naazela hai. Abu Talib ki wafaat ke
taqreeban 8 saal baad Madina mein naazil hui thi. Jabki doosri aayat surae Qasas
mein hai, jo Macci sura hai. Iss tarah inn 2 aayaat ke waqte nuzool mein taqreeban
10 baras ka faasla hai.

Humko Imam Bukhari ki neik neeyati ka yaqeen hai aur Saeed bin Musayyab ke iss
feyl  mein yaqeenan woh shareek nahin haiN.

Iss aayat ke nuzool se pahle aisi bahot si aayaat naazil ho chuki thiiN jismein
Aap (sawaw) ko aur momeneen ko mushrikon aur munafeqon ke saath dosti se manaa
kar diya gaya tha, Jaise:

” Jo loag Khuda aur yaume aakherat par imaan rakhte hain, tUm unko Khuda aur Rasool
(sawaw) ke dushmanon se dosti karte huEy na deikhoage. Agar cHey woh unke baap ya
beite ya bhai ya khaandaan hi ke loag hoN. Yehi woh garoahe momeniin hai jinke dilon
meiN Khuda ne iman ko sabit kar diya hai aur khaas apni rooh se unki ta’iid ki hai.”
( 58 / 22 )
Yeh suraey Mujadala – saat sooroN ke faasle se – surae Tauba se pahle Madina meiN
naazil hua.

Isi mauzu se muta’lliq kuch aur aayaat:

Surae Nisa – Aayat 139
Surae Nisa – Aayat 144
Surae A’al Imran – Aayat 28
Surae Tauba – Aayat 23
Surae Tauba – Aayat 113 , 114

Koi bhi sahebe aql Musalman kya yeh baat maan_ne ko tayyar hoga ke uske
Nabi par eik mushrik ne eik taweel muddat tak itne ehsaanaat  kiye ke unke
inteqaal ke saal ko Huzoor (sawaw) ne aam ul huzn kaha.
Duniya meiN kaun chacha aisa hai jo sirf bhateeje ki mohabbat meiN apne
beitoN ko qurbaan karne par aamaada ho. ShoAbe Abi Talib meiN jab Abu Talib ke
khandaan ke 40 afraad nazar bUnd thEy, jinmeiN aurteiN aur bachche bhi shamil
thEy, musalsal 3 baras  ki taweel muddat mein har raat Abu Talib Huzoor (sawaw)
ka bistar badalte rahte thEy. Kabhi Ali (as) ko unki jagah par sulaate thEy, kabhi
Jaffer ko to kabhi Aqeel ko. Unka maqsad yeh tha ke chaahe meira koi bhi farzand
shaheed ho jaaey magar Huzoor (sawaw) ko koi nuqsaan na pahoNchne paaey.
Agar Abu Talib, Ali (as) ke baap na hotEy to shayed unke iman par koi bahes na hoti.
Mazloome taareekh janab’e Abu Talib par mera salam.

Mirza Jamal

Published by S.M.Masum

Retired Banker, India

6 thoughts on “IMAN’E ABU TALIB (as)

  1. Mirza sb. plz quote the complete verse.

    “It is not proper for the prophet and those who believe to ask Allah’s forgiveness for the Mushrikun even though they be of kin, after it has become clear to them that they are the dwellers of the Fire” (9:113)

    I do not deny the services of Abu Talib towards Prophet(saw), but it is of no use for us to sit and argue whether did he declare shahada or not…….it will not help us in any way for our aakhira. pls do not mix emotions with religion.

    May Allah guide us all to the right path.

    A. Rafi

    Like

  2. A. Rafi is right:
    it is of no use for us to sit and argue whether did he declare shahada or not…….it will not help us in any way for our aakhira

    Like

  3. The truth is that it will make a difference to your akhira. Everyday in your salaat, when reciting Surah Fatiha, you say “Ihdina Sirat al Mustaqim, Sirat al Latheena an Amta Alayhim…” When you ask Allah to “guide me towards the path of those whom You (o Allah) are pleased with,” your asking Allah to give you the knowledge of differentiating (even in history) between the good and the bad. So it is not Islamic to neglect researching and forming an informed opinion about those who have gone forth.

    Like

  4. wow!, have a great discussion!,
    Mr mirza jamal have knowledge in depth as well as logical but as mr Rafi saying there is no need for mixing the religon and emotion, right! Actually where is the emotion? Every thing is logical and in last mr Haider explained very clearly with the reference of soor-e-alhamd.
    By the way in the day of judgement god will not ask us about the iman of Abu Talib, but the distributorship of jannat will be in the hand of Ali RTA(the son of abu talib), and the son of ali, imam hasan and imam husain… as rasool already says many times.
    If this family(mohammed sws, ali rta, hasan rta, husain rta) have the whole hold of jannah… so what is the problem for abu talib? Surely have the special discount by god almight, gafoor’rur rahim!!

    Like

  5. friend i am very impressed,but why u hide(It is not proper for the prophet and those who believe to ask Allah’s forgiveness for the Mushrikun even though they be of kin, after it has become clear to them that they are the dwellers of the Fire” (9:113)) why u not full coated, u r taken islam as a personally this is becouse abu talib was father of hazrat ali,then why u not defend abu jhal he was also mohammad(S.A.W) relative.

    Like

  6. aoa,
    Nice…article MA..and for Rafi and Shadab brothers dose it make any difference? if he coated half ayat he explained the nazool of ayat and i think that is more imp if u disagree from the nazool time and period of ayats than u can argue otherwise what i c is “Shamma taley andhera ”
    tc
    AH

    Like

Leave a comment

Dehlidarvesh

Dastāñ Barresagēr Ki

हमारा जौनपुर

शिराज़ ए हिंद

WordPress.com News

The latest news on WordPress.com and the WordPress community.

यही है वह जगह

काशी विश्वविद्यालय और बनारस पर

Kashifiat's Blog

Observations, Feelings & Emotions

Message of Peace

Peace, Brotherhood and Humanity....