Haq Ali Ali Maula Ali Ali Saem Chishti


When the Dawn of the Night of Ascension broke
The people saw the resplendent visage of the Prophet Muhammad
On being requested by his followers to reveal what ‘he said in the heavens
The pearls of wisdom flowed from his handsome lips
“Unusual stature of Ali I encountered there
“His name was resounding wherever I went
“I saw him everywhere I went.”

Haq Ali Ali Maula Ali Ali

Saem Chishti

Ali Imam Manasto Manam Ghulam E Ali
Hazaar Jaan E Girami Fida E Naam E Ali

Haiderium Qalndaram Mastam
Banda-E-Murtaza Ali Haastam
Paishwa-E-Tamaam Rinda Nam
Ke Sagay Koo E Shair E Yazdanam

Kabhi Deewar Hilti Hai, Kabhi Dar Kaanp Jata Hai
Ali Ka Naam Sun Ker Ub Bhi Khaiber Kaanp Jata Hai

Shah E Mardaan E Ali

Kab Kisi Benawa Say Kehta Hoon
Sub Ke Haajat Rawa Say Kehta Hoon
Baat Shair-E-Khuda Say Kehta Hoon
Door Ho Ja Nazar Say Ey Mushkil
Warna Mushkil Kusha Say Kehta Hoon

Q K Woh Hein Mere Ali Ali
Ali Maula Ali, Ali Maula Ali

Tan Per Ali Ali Ho Zubaan Per Ali Ali
Mar Jaoon To Kafan Pe Bhi Likhna Ali Ali

Baghair Hubb-E-Ali Mud’daa-A Nahi Milta
Ibadaton Ka Bhi Hargiz Sila Nahi Milta
Khuda Ke Bando Suno Ghour Say Khuda Ki Qasam
Jisay Ali Nahi Miltay Usay Khuda Nahi Milta

Basak Talash Na Ab Kuch Wus’at-E-Nazar Se Milaa
Nishaan E Manzil E Maqsood Raahbar Se Milaa
Ali Mile To Mile Khaana-E-Khuda Sa Hamein
Khuda Ko Dhonda To Wo Bhi Ali Ke Ghar Se Milaa

Khuloos E Dil Say Ali Ka Jo Naam Laita Hai
Wohi To Lazzat Umr-E-Tamaam Laita Hai
Khuda Ke Bando Suno Ghour Say Khuda Ki Qasam
Ali Ka Naam To Girton Ka Thaam Laita Hai

Paighambari Ke Chaand Ka Hala Ali Ali
Baatil Ki Teergi Ka Ujala Ali Ali
Paigham-E-Kirtigar Ka Jouhar Ali Ali
Imaan Ke Sadakh Ka Hai Kauhar Ali Ali

Ustaad-E-Jibrael-E-Mukaraam Ali Ali
Maula-E-Kainaat Moazzam Ali Ali
Sirdaar-E-Ambiya Ka Tabassum Ali Ali
Chashm-E-Junoon-E-Afzal-O-Akram Ali Ali

Ibadatoon Ka Jo Unwaan Hai To Zikr-E-Ali
Kamaal-E-Markaz E Eeman Hai To Zikar-E-Ali
Sukoon-E-Qalb Ka Saaman Dhoondne Walo
Sukoon-E-Qalb Ka Saaman Hai To Zikar-E-Ali

Mojod-E-Kaaba Deen Mukammal Ali Ali
Paighambari Ka Shahid-E-Awwal Ali Ali
Vird-E-Zubaan Ehl-E-Zamana Ali Ali
Yakta-E-Roozgaar Yagana Ali Ali
Altaf-E-Bebadal Ka Khazana Ali Ali
Insaan Ki Azmatoon Ka Tarana Ali Ali

Nazar Haqeeqat Shaanas Paayi To Kia Kahoon Kis Ada Ko Daikha
Her Aik Zarray Mein Jalwa Farmaa Mohammad-O-Murtaza Ko Daikha
Qasam Khuda Ki Ali Nabi Say, Nabi Ali Say Juda Nahi Hai
Ali Ko Daikha, Nabi Ko Daikha, Nabi Ko Daikha, Khuda Ko Daikha

Sahar Hoi Shab E Mairaaj Ki To Logo Ne
Jamaal-E-Pak Rukh-E-Sayyad-Ul-Bashar Daikha
Kaha Ghulamo Ne Hum Se Bhi Kijiyeh Irshaad
Jo Kuch Huzoor Ne Yasha-A Arsh Per Daikha

To Harfashaa Hue Lale Labe Rasool E Kareem
Ajeeb Martaba Haider Ka Arsh Per Daikha
Wali Wali Ki Sada Thi Jahan Jahan Pohche
Ali Ali Nazar Aye Jidhar Jidhar Daikha

Jin Ki Mehfil Hai Woh Mehfil Mein Zaroor Aate Hein
Aao Sub Ker Lo Deed Haider Ki
Sub Ker Lo Deed Haider Ki
Aaa Sub Ker Lo Deed Haider Ki

Nigaah E Raah Mein Bicha Do K Aap Aye Hein
Diloon Ko Farsh Bana Do K Aap Aaye Hein
Sub Ker Lo Deed Haider Ki
Sub Ker Lo Deed Haider Ki

Deed Haider Ki Ibadat Hai Yeh Farmaan E Nabi
Hai Ali Rooh E Nabi Jism E Nabi Jaan E Nabi
Gul-E-Tatheer Ali, Haq Ki Shamsheer Ali
Peeron Ke Peer Ali Ali

dono aalam ke hein waliyon pe waliat un ki
sari dunya ke imamon pe immamat unki
husn e taqdeer ali nabi ke wazeer wali
haq ki tasverr ali alii

ghareebon da zamane vich sahara hai ali maula
mohammad jiss da maula us da maula hai ali maula

un ki Saem hai walidat ki jagah harm-e-kaaba
aankh kholi to chehra e mohammad dekha
noor e tanveer ali, badr e muneer ali
malik e taqdeer alii alii

dast e ilaah kiyoon na ho sher e khuda ali
maqsood her ataa hai shah e la fata ali
jiss tarah hai aik zaat e mohammad hai bemisaal
paida howa na hoga koi dosra ali ali

Her Ik Wali K Dil Ki Sada Hai Ali Ali
Khuld E Bari Ki Aab-O-Hawa Hai Ali Ali
Jo Aaye Haq Ka Raahnuma Hai Ali Ali
Mahboob-E-Mustafa Khuda Hai Ali Ali

Shah E Mardaan E Ali
La Fata Illa Ali
Shair E Yazdaan Ali Ali
Haq Ali Ali Maula Ali Ali

Published by S.M.Masum

Retired Banker, India

6 thoughts on “Haq Ali Ali Maula Ali Ali Saem Chishti

  1. Awesome…brother…thank you so much… i was looking for this since such a long time…..loads of thanks…
    Allah ajar de…

    Like

  2. Dear sir
    assalamoalaykum
    sir ye quawalli hamne abhi abhi rajkot city ke dhoraji
    goun me hazraj saiyedna lalshah wali ke urse ke moke par suna hame bahut bahut accha laga nazre nahi hat ti thhi.
    realy bahut maza aa agaya quawali sunkar aur khas karke hame jo titel word tha wo bahut accha laga.

    thanks
    hamari aur se bahut bahut salam special thank for singer.

    From Abdul rahim garana
    ring road,
    surat.(gujrat)
    mobile- 09924562160

    Like

  3. Asalao Alaikum,
    Ya Ali Madad,
    Wow, great plear to visit this site, Ajromo Lillah.
    Har ik meezan ma tola,
    Zaban k saath dil bola,
    Ali Mola, Ali Mola, Ali Mola

    Like

  4. Bismila Herama Niraheem
    My capacity is nothing to say for Moula Ali A.S. but my heart is in the side of Haq and Haq is Ali. My heart want to say something.
    The peoples after Hazrat Muhammad SAAW Inteqal did not accept Wilayat of Moula Ali as clearly mentioned by Hazrat Muhammad SAAW in Ghadeer-e-Khum on last Haj. I think they were very unlucky due to not accepted.

    SALAM YA ALI A.S.

    Like

  5. Sab Ker Lo Deed Haider (AS) ki………….
    Sab ker Lo deed Haider (AS) ki………
    Jin ki mehfil ha Wo zarur aty hain……

    Wah Nusrat Fateh Ali khan… Hats off you…

    Hey ALI (AS) Rooh-e-NABI (SAWW)… Jism-e-NABI (SAWW)..

    HaQ Ali ALi ………..

    Like

Leave a comment

Dehlidarvesh

Dastāñ Barresagēr Ki

हमारा जौनपुर

शिराज़ ए हिंद

WordPress.com News

The latest news on WordPress.com and the WordPress community.

यही है वह जगह

काशी विश्वविद्यालय और बनारस पर

Kashifiat's Blog

Observations, Feelings & Emotions

Message of Peace

Peace, Brotherhood and Humanity....